Indian government ke applications ban list mein pubg bhi add kiya gaya hai. India mein pubg ban hone ja raha hai.
Indian government ne June 29 ko 59 Chinese apps ko ban kiya tha. Usme Tiktok, CamScanner and UC Browser jaise popular apps bhi include the. Government ne National security violations and users’s privacy ko nazar mein rakthe huve 275 applications ban karne ka decision liya tha. Ussi act ke dorran ab 47 aur apps ban karne ke planning mei hai Indian government.
Es list mein India ka most played esport Player Unknown’s Battlegrounds alias pubg bhi include huwa hi. And es news ki vajah se pubg fans pareshan ho rahe hai.
Profits Of Pubg In 2020:
Report ke anusar pubg India mein 175 million baar install kiya gaya hai. And 2020 ke pehle 4 mahino mein pubg ka revenue Rs 9,731 crore tak increase huwa tha.
Not only that, bulki es game ko khelne vale players bhi earn kar sakthe hai. Pubg har week aur har month competitions rakthi hai. Jisme players ko Rs 1 lakh se Rs 10 lakh earn karne ki mouka miltha hai.
Kya Pubg Sachme Chinese App Hai?
Bluehole, South korea ke video game company ne pubg ko develop kiya tha. Game ki popularity badne ke baad Chinese company Tencent ne Bluehole se partnership liya.
Phir Kyun Kar Rahe Hei Pubg Ko Ban?
Pubg originally Chinese app nahi hai. Lekin India mei pubg ka distribution Tencent company kar thi hei, jo ki Chinese company hai. Corona ki vajah se India aur China ke beech conflicts shuroo huwe hai. Es app ke karan Indian privacy and personal information chori hone ki sambhavna hai.
Young generation ke health and time ke baare mein socha government ne. Es se pehle India mein pubg players ke health ke baare mein issues bhi riase huve the. En sab vajah se pubg ko ban karne ka decision liya hai Indian government ne.
Pubg Ban Ke Khabar Se Internet Mein Memes Ka HalChal:
Es news aane ke baad internet mein bohut sare memes viral hone lage hai.
Pakistan Bhi Pubg Ban Kar Rahi Hai:
India, Pakistan ne bhi pubg ban karne ka decision liye hai. Pubg ban ke liye parents ne suggest kiya. Time aur health ko consider karthe huve Pakistan government pubg ban kar rahi hai.
Some Of Suggested Games For Pubg lovers Agar Sachme Ban Hojayega Toh:
Fortnite: fortnite bhi pubg ke tarah hi ek online survival game hai. Aur playstore mein popular game hai. Esme bhi 100-player feature hai. Shrinking battle zone bhi hai.
Call of duty-Mobile: Yeh bhi 100-player survival shooting game hai. Lekin es app ke development mein Tencent company ki involvement hei. Indian government ese bhi ban kar sakthi hai.
Garena free fire: Es game ne 100 million downloads cross kiya hei. Lekin 100 players ke jagah 50 players support karthi hai.
Battlelands Royale and Knives out bhi popular free games hai. Battlelands 32 players support karthi hai. And knives out 100 players.
Finally Pubg ka complete ban pe koi decision nahi aaya hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho to apne views hame Comment Box Me Likhe. Apne friends ke saath share kare. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin | Pinterest par