Amir Khan Ke Bete Junaid Khan Ki Pahli Film ‘Maharaj’ Ke Ott Release Se Pahle Hi Gujarat High Court Ne Us Par Stay Laga Diya Hai. Kuch Veterian Sources Se Ab Khabar Nikalkar Aa Rahi Hai Ki Makers Is Decision Ko Challenge Karne Wale Hain. Darasal Ye Film 14 June Ko Netflix Par Release Hone Wali Thi Lekin Controversial Story Line Ke Chalte Ise 18 June Tak Hold Par Rakh Diya Gaya Hai. Film Ke Rights Yashraj Films ( YRF) Aur Netflix Ke Paas Hain. Multiple Industry Sources Ne Ye Baat Confirm Ki Hai Ki Ye Dono Right Holders Gujarat High Court Ke Is Faisale Ko Challenge Karenge.
Darasal ‘Vishva Hindu Parishad’ Ne Netflix Aur Yashraj Films Ko Ek Notice Jari Kiya Hai Jiski Wajah Se Netflix Apne Content Ko Leke Shant Hai. Bajrang Dal Ka Maanna Hai Ki ‘Maharaj’ Film Mein Hindu Dharm Especially Vaishnav Dharm Ko Lekar Kuchh Negative Baten Dikhayi Gayi Hain Jiski Wajah Se Woh ‘Maharaj’ Film Ko Release Se Pahle Dekhne Ki Appeal Kar Rahe Hain. Netflix Maharaj Ke Release Hone Se Pahle Is Film Ko Kisi Ko Dikhane Par Sahmat Nahin Tha.
Baat Karen Movie Ki Story Ki To Ye Ek Period Drama Film Hai, Saal 1862 Ke Ek Sachhi Ghatna Par Based Hai Jiske Main Character Ek Patrakaar Aur Dharm Guru Hain Jis Par Sexual Harassment Ka Case Darj Hua Hai. Isme Patrakaar ‘Karsandas Mulji’ (Junaid Khan) Ne Ek Dharmik Neta Ke Kahne Par Sexual Misconduct Ka Parda Fash Kiya.
Ye Film Saurabh Shah Ki Book ‘Maharaja’ Se Inspireed Hai. Book Ke Author Ne Khud Yah Baat Accept Ki Hai Ki Film Me Vaishnav Dharm Ke Sentiments Ko Kisi Bhi Roop Me Hurt Nahin Kiya Gaya Hai. Siddharth P Malhotra Jinhone 2018 Me Aayi Rani Mukherjee Ki Film ‘Hichki’ Movie Ko Direct Kiya Tha, Is Film Ke Bhi Director Hain. Aane Wale Wakt Me Is Film Ko Lekar Kya Hota Hai Ye To Aage Hi Pata Chalega. Filhaal To Film 18 June Tak Ke Liye Hold Par Hai.
Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin