Karnan Movie ka review: Ye cinema ki Bahut hi achi film hai. Theni Eswar ke Cinematography mythologizes or pure village ka struggle or unka saviour.
Karnan Movie Cast: Dhanush, Lal, Rajisha Vijayan.
Karnan movie director: Mari Selvaraj
Karnan movie ratings: 5 stars.
Karnan Ke Opening Scene Me Dikai Gayi Hai Ek 10 Saal Ki Ladki
Karnan ka opening scene ek ladki ke sath kiya hai, jo ki 10 saal se upar nahi hai, or road ke middle ke andar fatal seizure se suffer kar rahi hai. Koi uski help ke nahi ata or kuch samay baad vo hilna band ho jati hai. Vo vaha chup chap se padi rheti hai, or apko dikhega ki ek bus aa rahi hai, jiske driver ko pata nahi hai ki vo ladki vaha road pe padi hui hai. Aap ye scene bahut hi bhayanak dekhege or ye finally hoga. Bus uss ladki ke upar se nikal jati hai, or uske baad dusri. Ye bar bar hota hai or vaha koi nahi hai ki vo uss chotti si ladki ki help kare. Main Road pe vo ladki ek metaphor hai ek street dog ke jaise, usko road pe aise akela chod diya gaya hai jaise uski young life ki koi value nahi hai. Ye emotion se bhara hua opening scene apko or bhi stronger banayega jaise jaise hi apko pata chalega ki community ke kuch log kis kadar ke dehumanised hai.
Karnan ke plot ke upar discuss karna pointless hai. Iss film ko measure karna unfair hoga story ke terms pe or shayad aap narration ke logic se agree ho. Iss film ko experience karna chahiye emotionally bhi or visually bhi. Ye sadiyon se chala aa rha hai ki logo ko caste ke name pe aise aise unspeakable atyachar se suffer karna padta hai. For example, Apni self- respect ke liye stand lena suicidal sabit hota hai. Ape basic human rights ke liye demand karna matlab pure village ke liye maut ka niyota dene barabar hai.
Ek high level ka cop blood bays chahata hai kyunki uska pride hurt hota hai jab village ka head apne sir se towel nikalne ke mana karta hai or usse ye bhi shen nahi hota ki vo admi uske samne jhukta nahi hai or uski ankhon me ankhein daal ke dekhta hai. Usko parvha nahi hai ki villagers vandalism se committed hai. Vo villagers ko tabhi maaf karega jab vo uske aage jhukar namaskar karege. Hum vaise to kafi news dekhte or padte hai caste ke related violence lekin hum padne ke baad firse apni comfortable life me aage badh jate hai. Lekin Karnan apko aisa nahi karne dega. Ye film apko ye ehsas dilvayegi ki kya guzarti hai jo iss community or caste ke violence ke sikar hote hai. Or isse bhi jyada mushkil to ye imagine karna hai ki iss humare bich aise log aj bhi hai or aise bhi jo ye sab aj bhi shen karte hai or vo jyada durr nahi hai humse humare hi aas pass hai.
Karnan Ek Fearless Aam Aadmi Hai Jisko Apni Self-Respect Se Bhaut Pyar Hai.
Director Mari Selvaraj ka Karnan ek revolutionary hai, Pariyerum Perumal ke jaisa insults ko jane nahi deta. Karnan fearless admi hai jarurat padne pe vo ulta waar bhi karta hai humare satisfaction ke liye. Hum Dhanush ke Karnan ko gusse me burst hote hue public property pe attack karte hue dekhege. Lekin kya aap ye feel nahi karte ki jo property vo destroy karta hai usko taxpayers ne fund kiya hai. Lekin uska ye gussa jab apko samajh ayega toh apko ye property ki existence ek dum meaningless lagegi, jo kisi ke jarurat me uske kaam nahi aa rahi. Isse vo kya kar rahe hai ki vo log jo already power me hai unke pride ko usme vo unko or or pomp up kar rahe hai, unko ye superiority complex deke ki vo apne se kam privileged logo ko mistreat kare.
Karnan ek bahut hi achi movie hai cinema ki. Theni Eswar ki Cinematography mythologizes ke villagers ke struggles or unka saviour Karnan. Ye film ke images ka bahut hi shandar hai jiska bahut hi acha impact aap ke upar padega. Aur Santosh Narayanan ka picturization ka score especially Kandaa Vara Sollunga me, uski beauty hai.
Karnan Me Dhanush Ne Apne Real Character Se Hatt Kar Kiya Hai Iss Movie Me Kaam.
Dhanush apna stardom ko piche chod kar Karnan character ke features me bahut achese mil chuke hai. Unhone ek bahut hi real angry young man ka performance diya hai Karnan me, Jo insan jeene ke liye apni self-respect ko sacrifice nahi kar sakta. Lal Rajisha Vijayan, Lakshmi Priyaa Chandramouli, Yogi Babu, Gauri G. Kishan, sare young bache, or old log, module dogs, horse or ek donkey ka bhi aap ke upar impression padega.
Karnan | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin