in

Kaun Hai Farrukh Jaffar? Kyu Hai Trend Me Har Taraf?

Recently release hui film “Gulabo-Sitabo” is waqt Kafi charcha me hai. Bollywood ke Mahaanayak Amitabh Bacchan and multitalented actor Ayushman Khurana ki yeh film OTT platform Amazon Prime par release hui hai. Actually, ye film 21 June ko release hone wali thi, but flim usse pehle yani 12 June ko Amazon Prime or release hogai.And is film me Begam ka role play karne wali actress Farrukh Jaffar ki charcha Big B se Kahi Jada ho rahi hai. 87 years ki Farrukh Jaffar ko Bollywood industry me kam karte Kafi time hogaya hai. Then, Ayiye hum apko batate hai Farukh se Judi kuch interesting batein.

Farrukh Jaffar, Gulabo Sitabo's sassy Begum is on a career high at ...

Film “Gulabo-Sitabo” ke director Shoojit Sircar hai and is film ko log Kafi Pasand Kar rahe. 87 saal ki Farrukh Jaffar ki is film me jam kar tareef ho rahi hai. Farrukh Jaffar Kafi Lambe waqt se film industry se Judi hai. Vo pehle bhi Kai films me apni acting Ka jalwa dikha chuki hai.

Rekha se kaise Judi?

Apni Bollywood career ki starting Farrukh Jaffar ne year 1981 me “Umrao Jaan” se Kari thi. Unhone is film me Rekha ke role “Ameeran” urf “Umrao Jaan” ki maa ka role play Kiya tha. Is film se pehle 1963 me Farrukh Jaffar ne Lucknow ke kayi Radio Station me bataur announcer kaam shuru kiya tha. Esa bhi Kaha jata hai ki Farrukh Jaffar India ki first female Radio Announcer thi.

Kaise Mili pehchaan?

Farrukh Jaffar ko Sahi maiyne me pehchaan tab mili jab unhone ne Sharukh Khan ki film “Swadesh” me Kamm kiya. 2004 me is film me kaam karne ke 23 saal baad filmo me comeback kiya tha.Fir unhone “People Live”, “Sultan”, and “Secret Superstar” jaisi filmo me Kam Kiya.

Farrukh Jaffar

Farrukh Jaffar ne filmo ke sath TV shows me bhi Kam kiya hai. And unhone Bollywood ke teeno khan-Sharukh Khan, Amir Khan and Salman Khan ke sath Kam Kiya hai. Along with that unhone, TV shows Jaise “Husan-ye-Jana”, “Adha Gaon”, and “Neem ka Ped” me bhi kaam Kiya hai.

Sabse interesting baat ham apko bata de ki Farrukh ke husband ek freedom fighter and patrakar the. And baad me unhone Politics me entry kar li thi. Jafar ki do daughter bhi hai jinka Nam Mehru or Shaheen hai.

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Muskmelon: Janiye Health se Jude kuch Interesting Facts.

Shahid Afridi Ka Naya Record: Fans Ke Sath Sath Baki Cricketers Bhi Dukhi