Nasa Ki Kai Satellite Hain Jo Alag – Alag Grahon, Unke Chaand Aur Sitaron Ki Tasveer Kheench Rahi Hain. Kai Satellite Space Ke Sabse Bade Rahasya Black Hole Ki Jankari Collect Karti Hai. Ab Ek Satellite Ne Black Hole Ki Aawaaz Ko Record Kiya Hai. Nasa Ne Ab Isse Insani Kano Ko Sunne Ke Hisaab Se Process Karke Jari Kiya Hai. Jis Black Hole Ki Yeh Aawaaz Hai Woh Earth Se 20 Cr. Prakash Varsh Door Hai. Yeh 1.1 Cr. Prakash Varsh Ki Breadth Mein Faile Persious Aakashganga Samoh Ke Centre Ha Hissa Hai. 2003 Se Hi Yeh Black Hole Sound Se Juda Hua Hai. Aisa Is Liye Kyonki Khagolvidon Ne Paya Ki Black Hole Se Nikli Dabaav Tarangon Ne Cluster Ki Gasson Ko Garm Kar Diya. In Tarangon Ko Humans Ke Sunne Ke Liye Dhwani Tarangon Mein Badla Ja Sakta Hai.
Kya Space Mein Aawaaz Sunaai Deti Hai?
Ek Normal Insaan 57 Octave Ko Nahi Sun Sakta Hai. Lekin Ab New Machine Ke Zariye In Tarangon Mein Naye Notes Jode Gaye Hain, Jinse Ek Behtar Sound Mila Hai. Yeh Aawaaz Pehle Ki Aawaazon Se Behtar Hai. Nasa Ne Kaha Ki Logon Ka Yeh Manna Hai Ki Space Mein Koi Sound Nahi Hota Kyonki Space Puri Tarf Se Nirwaat Hai Aur Yaha Dhwani Trangon Ko Aage Badhne Ke Liye Koi Madhyam Nahi Hai. Lekin Dusri Traf Ek Aakashganga Samoh Mein Prachoor Matra Mein Gas Hai, Jismein Woh Hazaron Galaxy Ko Apne Andar Sama Sakti Hai, Yeh Dhwani Tarangon Ko Aage Badhne Dete Hain. Nasa Ne Black Hole Ki Aawaaz Ko Chandra X-Ray Observatory Se Pakde The.
Space Mein Insaano Ki Nude Tasveeren Bhegega Nasa
Nasa Ne Space Mein Aliens Se Contact Karne Ke Liye Ek Naya Tarika Khoja Hai. Nasa Ne Space Mein Insaano Ki Nude Tasveerein Bhejna Ka Faisla Kiya Hai. Yeh Ek Update Binary Code Msg Ka Hissa Hai, Jiska Use Space Mein Aliens Se Contact Karne Ke Liye Kiya Jaiga. Radio Wave Ke Zariye Isse Space Mein Choda Jaiga.
Nasa Ne Jari Kiya Black Hole Ki Sound Ka Video, Awaaz Sun Reh Jainge Dang….|Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin