Kal Stree Ke Much Awaited Seuel Ka Teaser Internet Par Release Kar Diya Gaya. Abhi Tak Ye Teaser Sirf Theatres Me Release Kiya Gaya Tha Par Kal Ise Internet Par Bhi Upload Kar Diya Gaya. 2018 Me Aayi Film Stree Ne Apne Performance Se Public Ke Dilon Me Ek Special Jagah Banai Hui Hai Aur Usi Ki Wajah Se Audience Is Film Ka Besabri Se Intezar Kar Rahi Hai. Waise To Is Film Ki Koi Release Date Fix Nahi Thi, Anuman Ye Lagaya Ja Raha Tha Ki Film Christmas Ko Target Kar Sakti Hai Magar Pushpa 2 Ke Postponement Ka Fayda Uthate Huye Film Ne Apni Release Date 15th August Ko Declare Kar Di. Halanki Us Din Iska Kai Filmon Ke Sath Clash Hai Magar Sequel Hone Ka Fayda Ye Film Jaroor Uthayegi Aur Agar Content Achha Hua To Baki Filmon Ko Peeche Bhi Chhod Sakti Hai.
Stree 2 Ke Teaser Ki Baat Ki Jaye To Film Ek Proper Sequel Nazar Aa Rahi Hai. Jahan Film Ki Shuruaat Wahin Se Hoti Hai Jahan Par Iska First Part Khatam Hua Tha. Jahan Pichhle Part Ka Famous Dilogue Tha “O Stree Kal Aana” Wahin Is Film Me Usko Badal Diya Gaya Hai. Stree Ka Bada Statue Village Me Banaya Gaya Hai Aur Dilogue Change Hokar Ye Ho Gaya Hai, “O Stree Raksha Karna.” Film Me Ek Baar Fir Se Pankaj Tripathi, Shraddha Kapoor, Rajkumar Rao Aur Kai Sare Supporting Actor Lagbhag Usi Tarah Ke Role Me Nazar Aaye Hain. Dekhna Ye Hai Ki Ye Sab Milkar Kya Ek Baar Fir Se Wahi Magic Audience Par Chala Pate Hain Ya Nahi. Sources Ki Manen To Is Film Me Kuch Naye Characters Ki Entry Bhi Ho Sakti Hai.
Film Ke Content Ke Sath Sath Film Ka Box Office Par Chalna Bhi Utna Hi Important Hota Hai. Agar Aapka Content Achha Bhi Hai Aur Box Par Nahi Chalta Hai To Film Commercially To Loss Me Hi Rahti Hai. Khar Baat Karen Stree Ki To Iska Pahla Part To Box Office Par Superhit Raha Tha Aur Aise Me Sequel Ka Achha Collection Karna To Obvious Si Baat Hai. Magar Samasya Ye Hai Ki Is Baar Ye Film Koi Solo Release Nahi Hai Balki Akshay Kumar Ki Khel Khel Me Aur John Abraham Ki Vedaa Ke Sath Clash Karne Ja Rahi Hai. Iske Alawa Other Regional Films Bhi Market Me Hongi. Halanki Baat Karen Horror Comic Films Ki To Unka Performance Achha Hi Raha Hai Chahe Stree Ka First Part Ho, Bhediya Ho Ya Recently Released Munjya. Aise Me Stree 2 Apne Content Aur Pahle Part Ki Success Ke Dam Par Baki Filmon Ko Peeche Chhod Pati Hai Ya Nahi Ye To Film Ki Release Ke Baad Hi Pata Chalega.
Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin