in

Legendary Mr. Amitabh Bacchan Ka 52 Saalon Ka Film Industry Ka Safar

Amitabh Bacchan aka Big B jinhe hum sab jaante hain aur bahot pasand bhi krte hain aur yeh sabke chaheete bhi rhe hain, inko film industry mein aapne roles se aapni acting se sabka dil jeet liya hai, toh aaiye dekhte hain ki inka yeh 52 saal ka safar kesa raha.

1) Saat Hindustani

Amitabh Bacchan ki harr movie ne hamara dil kabhi villain banke, kabhi hero banke hamesha jeeta hai, Yeh thii Amitabh Bacchan ki pehli movie jiska naam thaa “Saat Hindustani”. Yeh movie 7 November 1969 mein release hui thii jisse Khwaja Ahmad Abbas ne likkhi aur direct ki thii, Yeh film saat bhartiya jawaano pr based hai jinhone aapni jaan ki bina parwaah kiye Goa ko, Portugese Colonial Rule se free krwaane ke liye aapni edi choti ka zor laga diya thaa, Iss movie mein amitabh bacchan ne aapna debut kiya thaa aur unhe bahot aacha response mila thaa.

2) Mr Natwarlal

“Mr Natwarlal” 1979 mein release hui ek bollywood action, comedy, romantic film thii jisme “amitabh bacchan” ne lead role play kiya thaa, iss film ko “tony glaad” ne produce kiya thaa aur “rakesh kumar” ne direct kiya, iss movie mein amitabh bacchan ne bahot hi ehem bhumika nibhaayi thii, yeh movie natwarlal naam ke ek conman ke upr based hai jisme natwarlal ka kirdaar amitabh bacchan ne itni bakhubi se nibhaya hai ki aisa lg hi nhi rha thaa ki voh acting kr rhe hain , natwarlal ek jawaan ladka hota hai jab uske badhe bhai aur caretaker ko galat ilzaam mein jail bhej diya jaata hai aur phir kya, tabhi natwarlal soch lete hain ki voh aapni alag pehchaan banaenge aur unhone badhe hoke underground mein aapna naam darzz kiya, Iss movie ke liye amitabh bacchan ko “best actor” ka award bhi diya gaya thaa

3) Toofan

Toofan film 1989 mein release hui thii jisme amitabh bacchan ne ek superhero ka lead role play kiya thaa, iss movie mein bacchan judwaa bhai ke roop mein double role play kiya thaa, pehla bhai jiska naam toofan thaa voh ek superhero thaa aur doosra bhai ek magician thaa jiska naam shyam thaa, aur yeh dono bhai lord hanuman ke bhakt thee, iss film ko manmohan desai ne produce kiya thaa, iss movie ke saath amitabh bacchan ne industry mein aapna aacha naam kama liya thaa.

4) Sooryavansham

Sooryavansham ek 1999 mein release hui wi ek film thii, yeh movie ek bollywood romantic, musical drame film thii jisse E.V.V satyanarayana ne direct kiya thaa, Yeh movie 1997 mein release hui wi ek tamil language ki movie suryavansham ka remake hai, unhone iss film mein bhi aapna kamaal aakhir dikha hi diya, yeh movie ek traditional father aur ek illiterate but obedient son ki kahani hai aur inn dono ke jhagde ko darshaati hai yeh movie, Iss movie ne total 7 crore ki kamayi kri thii, yeh movie abhi bhi television channel SET MAX pe baar baar dikhaayi jaati hai aur log isse bahot anand ke sth dekhte hain

5) Teen Patti

Teen patti ek 2009 mein release hui wi ek hindi thriller film thii jisse leena yadav ne direct kiya thaa iss movie mein amitabh bacchan ne lead role play kiya thaa, iss film ko ambika hinduja ne produce kiya thaa, iss movie mein amitabh bacchan ne ek mathematics professor ka role play kiya thaa joh probability naamak ek chapter pr thesis likhne ki koshish krte thee and usse ek teen patti ki game se jodhne ki koshish krte thee. Iss movie ne bhi box office mein aachi kamayi ki thii.

6) Pink

Pink movie 2016 mein release hui thii, iss film ko aniruddha roy chowdhary ne direct kiya thaa aur iss movie ko shoojiy sircar ne release kiya thaa, Iss movie ne bahot hi aachi kamayi ki thii joh ki 160 crore ki thii, iss film ko best film ka award mila thaa, iss movie mein amitabh bacchan ne ek vakeel ke roop mein desh mein Aurton ke upar chal rahe atyachaar, rape ko leke logon mein smjh jagayi

Also Read: 5 Bollywood Stars Jinhone Acting Chor Doosri Industry Me Jamaya Kadam

7) Syerra Narsimha Reddy

Syeraa Narasimha reddy ek 2019 mein release hui wi ek telugu film thii yeh ek historical film thii jisse surender reddy ne direct kiya thaa aur ram charan ne produce ki thii, yeh movie narsimha reddy ki british east india company ke against fight dikhaati hai , amitabh bacchan ki iss movie mein guest appearance thii pr logon ne inko bahot hi psnd kiya, Iss movie ne kull 240 crore kamaye thee. Chahe movie koi bhi ho, kisi bhi language mein ho, koi bhi role krna ho, amitabh bacchan usse bakhubi se krna jaante hain.

Also Read: Miss Universe Harnaaz Kaur Sandhu Aakhir Kyon Bhadak Gai ?


Amitabh Bacchan || Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Tannu Sharma

5 Bollywood Stars Jinhone Acting Chor Doosri Industry Me Jamaya Kadam

India Ki Top 5 Haunted Places