1)Power Se Bulb Bhi Jalta Hai Power Se Current Bhi lagta Hai | Sandeep Bhaiya
Sabse pehle humare Why clear hona chahiye ki hum ye kaam kar hi kyon rahein hain. Kya hoga is kaam ko karne se ?? Kon aapko push kar rha hai? Kya koi aapka friend , ya parents , ya fir relatives?? Kya aap sach mein karna chahte hain ye kaam ?? Kya sach mein aap apne desh ke liye kuch karna chahte hai ?? To sabse pehle apna why clear karna bhot important hai.Bhot saare log power ke liye IAS banna chahte hai. Lekin power se bulb bhi jalta hai aur logon ki zindagi mein roshini kar deta hain . Aur power se current bhi lagta hai. You have to decide power ka use kaise karna hai.#sandeep bhaiya
2) Subject Jo Hai Na Wo girlfriend Ke Jaisa Hota Hai | Sandeep Bhaiya
Sabse badi pareshani aspirants mein hoti hai ki wo apna optional subject kya choose krein? Kuch log ye dekhte hai ki highest scoring subject jo hai hum whi lete hai. To kuch log whi dekha dekhi ki mere friend ne ye subject liya hai optional mein to mujhe bhi yhi lena chahiye ya fir Jo already IAS ban chuke hai unhone konsa subject liya tha use dekhkar le lete hain .
Lekin subject girlfriend jaisa hota hai. Jis ladki ya ladke mein aapka interest nhi hai aap khush hi nhi reh paoge. Breakup ho jayega. Lekin jis ladki ya ladke mein aap jitna interest loge , jitna time doge utna pyaar bhi hoga.To ye faltu baatein hai ki topper ne ye subject le liya to hum bhi le lein ya fir is subject mein kam ya jyaada marks aatein hai . Agar shi se padhai ki jaaye to sab mein marks aayenge . Ye baat toppers smjhte hai isliye toppers bane.
4) Interviewer Se Jyaada Tumhein Clear Hona Chahiye | Sandeep Bhaiya
IAS baane ki taiyaari LBASNA se nhi balki preparation se hi start ho jaati hai. #sandeep Bhaiya
To sochiye aap IAS kyon baana chahte hai . Samaj ki seva to har insaan karta hai chahe wo koi doodhwala ho ya fir koi businessman. Sabhi log desh ko aage badhane mein apna yogdaan de Rhein hai . To sochiye aap IAS hi kyon banna chahte hai. Interviewer se jyaada khud clear hona chahiye ki IAS kyon banna hai.#Sandeep Bhaiya
5)Pyar,Family Or Friends Ko Dream Ke Liye Kabhi Sacrifice Nhi Karna Chahiye | Sandeep Bhaiya
Agar hum Friends , family sabko chodkar keval preparation par dhyan dein aur wo achieve bhi karlein jo humein chahiye tha lekin phir bhi kuch khalipan reh jaata hain. Humari baad mein aisi situation ho jaati hai ki hum mahsoos karne lagte hai ki hum ek satellite ki trah hain.Jisne rocket ki force se space mein apna orbit to paa liya . Lekin us orbit mein gol gol akele hi ghoomte jaa Rhein hai. As a satellite ki trah logon ke kaam to aa rhein hai.
satellite to phir bhi masheen hai use farak nhi padta par ek human use pyaar , rishte ,dosti ki force ke bina na doori par ghoomta hua directionless hain. Baad mein andar se bilkul khalipan sa lgta hai. Pyar , family , friends inhe apne dreams ke liye sacrifice kar dena isn’t worth it at all.#Sandeep Bhaiya
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin