Although aaj kal ke Indian Cinema me Kissing scenes kaafi common hai. But kya aapko pata hai ? Sabse pehle kissing scene kis movie me perform kiya gya. Pehle ke daur me kiss nahi hua karte the, bas ishaaro-ishaaro me pyar ka izhaar hua karta tha. But 1933 me Indian cinema ki pehli lip lock movie release hui after that Poori India Movie Industry badal gae.
4 minute ka kissing scene hone ki vajah se ye Indian cinema ka ab tak ka sabse lamba kiss scene hai longest kiss hai. Is film ko May 1933 me Hindi aur English language me release kiya gaya tha. Ye movie 68 minutes ki hai and iski story Dewan Sharar ne likhi hai. Although English version jab London me release hue to ise kaafi appreciation mili. But India me audience ne ise bahut criticise kiya. Naagan ki Raagini naam se ye movie India me release hue. Indian audience ne sirf 4 minutes ki kissing scene ki vajah se movie ko criticise kiya. Ab kyuki Audience ne ise kaafi criticise kiya that’s why movie bhi box office pe pit gae.
Reel Hi Nhi Real Life Couple Bhi The
1929 me Himanshu Rai Ji and Devika Rani ji Shadi ke Bandhan me badh gae. Devika Rani Noble Prize winner Gurdev Rabindra Nath Tagore ki Bhatiji ki beti thi. 1928 me Devika Rani ki Mulakat Himanshu Rai se London me hue thi. Un dino Rai saheb apni upcoming film A Throw of Dice ki preparation me lage hue the. Devika ki Exceptional Skills ko dekh ke vo kaafi impress hue aur unhe apni production team ( not as an actress ) ka part bana liya se hue. 1929 me A Throw of Dice release hue although ye dono tab tak Shadi kar liye the. India vapis aane ke baad Himanshu ne Karma movie ka plan kiya jisme vo khud as a Lead actor the and unhone as lead Actress Devika Rani ko cast kiya. Karma hi Devika Rani ki debut film hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin
[starbox id=reema]