Lucknow, Jisko Nawabon Ka Sehar Kaha Jata Hai, Jaha Kai Nawab Ae Aur Gae. Jinhone Lucknow Mein Kai Badi Badi Imartein Banvai. Jinhe Aaj Bhi Log Bade Shauk Se Dekhte Hain. Lucknow Mein Muskurane Ki Vajh Hai To Vahi Darane Ki Vajh Bhi Hai. Lucknow Ki Kai Aisi Jagh Hai, Jaha Aap Gai Jarur Honge, Par Kya Aap Jante Hain Ki Voh Jagh Hauted Places Main Count Ki Jati Hai. Logon Ka Manna Hai Ki In Jahgon Par Khade Hoker Ek Ajeeb Si Sihran Maehsus Hoti Hai.
Aaj Hum Lucknow Kuch Khass Jahon Ke Bare Mein Batane Ja Rahe Hai, Jaha Par Logon Ne Kuch Ajeebon Gareeb Mehsus Kiya Hai, Aur Jinhe Log Bhutha Kehte Hain.
Bada Imambada
Bada Imambada, Kaha Jata hai Ki Uttar Pradesh Mein Bade Akaal Ke Karan Mughal Kaal Ke Duraan Bani Is Shaandar Imarat Mein Kaam Karte Time Kai Logon Ne Apni Jaan Gavaa Di Thi. Local Citizens Ka Kehna Hai Ki Unki Aatmaye Aaj bhi Is Jagh Par Bhatkti Hain. Iske Andar Ek Bada Taikhana Bhi Hai, Jaha Angrezon Ke Sasan Kaal Mein Kaidiyon Ko Rakha Jata Tha. Kuch Ki Isme Maut Ho Gai Thi. Jisse Yeh Jagh Bhutiya Ban Gai.
Local Citizens Aur Visitors Ne Aksar Kaidiyon Ki Awajein Aur Chikhe Suni Hain. Unhone Is Shaandar Imarat Ke Parisar Ke Andar Rahsaymai Chitron Ko Ghumte Hue Dekhne Ka Dava Bhi Kiya Hai.
Sikandra Baag
Sikandra Baag Ne Bhartiy Swatantrta Sangram Ke Duraan Ek Importent Bhumika Nibhai Thi. Iski Diwaarein Angrezon Ke Vehshipane Ki Gavah Hain. Aisa Mana Jata Hai Ki Swatantrta Andolan Ke Duran 72 Angrezon Ne 2300 Bhartiyon Ki Hatya Kar Di Thi. Jiske Baad Unki Lashon Ko Khule Mein Giddhon Ke Khane Ke liye Chod Diya Gaya Tha . Kaha Jata Hai Ki Unka Antim Sanskaar Nahi Hone Ke Karan Inki Aatma Yaha Bhatakti Hai.
Balrampur Hospital
Reporters Ke Mutabik, Yeh Hospital Ek Kabristaan Par Bana Hai. Local Citizens Ka Manna Hai Ki Unhone Yaha Ajeebon – Gareeb Gatividhiyon Ka Experience Kiya hai. Mareej Ne Andhere Ke Baad Apne Room Ke Darwaze Par Kadmon Ki Aahat, Acchanak Chikhna, Ron Aur Khatkhtane Ki Awaazen Sunai Deti Hain.
Oil House
Pehle Yeh Vajid Ali Shah Niwaas Karte The, Lekin Present Mein Is Ghar Par Lucknow University Ke Kulpati Ka Kabza Hai. Aisa Mana Jata Hai Ki 1857 Ke Vidroh Ke Duraan, Kai British Sainikon Ne Apni Jaan Gava Di Aur Unke Body Ko Oil House Ke Andar Ek Kuvein Mein Phenk Diya Gaya. Kaha Jata Hai Ki Ab Is Kuvein Mein Mrat Sainikon Ki Aatmauon Ka Vaas Hai. Reporters Ke Mutabik, Ek Kulpati Ko Is Vajh Se Apne Bete Ko Khona Pada Tha Kyonki Unka Beta Kuvein Me Patthar Fenk Raha Tha.
Nirala Nagar
Niraala Nagar Lucknow Ka Bada Ilaaka Hai, Jise 1960 Mein Shamshaan Ghaat Par Basaya Gaya Tha. Kehte Hain Ki Kabron Par Rehne Vali Aaatmauon Ne Puri Colony Mein Apna Ashiyana Bna Rakha Hai. Is Ilake Mein Rehne Vale Log Yaha Ajeeb Chizon Ki Dekhne Ke Sath Bacchon Ke Rone Ki Awaaz Bhi Sunne Ka Dava Kiya Hai.
Residency Park
Ye Mana Jata Hai Ki Kai British Adhikaroyon Aur Unke Pariwaaron Ne 1857 Ke Duraan Yaha Apni Jaan Gawaai Thi. Imarat Ka Basement Iina Khatrnaak Hai Ki Yaha Jane Ki Himmat Koi Nahi Karta. Yeh Jagh Ab Andhera Hone Ke Baad Band Kar Diya Jata Hai.
Dikusha Garden
Lucknow Ke Dilkusha Garden Ko British Kaal Ke Duraan Bnaya Gaya Tha Aur Ab Ise Lucknow Ka Sabse Haunted House Mana Jata Hai. Aisa Kaha Jata Hai Ki Vaha Par Jo British Adhkariyon Ki Kabrein Hai Unhi Ki Aatmayen Raat Mein logon Ko Pareshaan Karti Hain, Isliye Is Garden Ko 6 Baje Ke Baad Band Kar Diya Jata Hai.
Lucknow Ki Voh Jagh Jo Hai Haunted..|Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin