Xiaomi ke next-generation fitness tracker band Mi Band 5 ko launch kar diya Gaya hai. China me launch kiye gae is nae fitness band ka ek standard version hai and ek NFC version. Ye band basically 8 colours ke strap variant me ata hai. Mi Band 5 me 1.1-inch ka colour AMOLED display hai. Khas baat ye hai ki Mi band 4 ko 0.95-inch ki screen ke sath launch kiya Gaya hai. Xiaomi ka dava hai ki ek baar charge karne par Mi Band 5 14 dino tak sath deti hai. Band up to 50 meters tak water resistance bhi hai. And ye nae Magnetic charging dock ke sath ata hai. China ke bahar Mi Band 5 ko Mi Smart band 5 ke Nam se Jana jaega.

Kya Hai Price

Mi Band 5 launch event: price, features expected | Rv Talks

Chinese Market me Miband 5 ke standard version CNY 189 (kareeb 2,000 ₹) and NFC variant CNY 229 (kareeb 2,500 ₹) me becha jaega. Smart band Black, Blue, Pink, Orange, Purple, Yellow and Green colour strap ke sath aata hai.

Xiaomi ne abhi India me Mi Band 5 ko launch karne ki baat confirm nahi ki hai but umeed hai jald hi launch karegi.

Kya Hai Specifications

Xiaomi's Mi Smart Band 5 sports bigger display and new wireless ... Rv Talks

As we said, Mi Band 5 me 1.1-inch ka coloured AMOLED display diya hai. Isme 100 new animated watch faces bhi hai. Fitness track me aapko 11 modes mil jaate hai. Ye Personal Activity Intelligence (PAI) Activity Index ke saath ata hai jo users ko fitness activity ko samjhane me help karta hai. Is band me aapko Sleep Monitoring system milta hai jo users ko unki neend ke pattern ko track karne me help karti hai. Xiaomi ka dava hai ki Sleep monitoring ki Accuracy pehle ki Comparision me 40% better hai.

Mi Band me Heart Rate sensor bhi milega. Khas feature to ye hai ki aurto ke lie alag se heath mode diya gaya hai. Fitness band me Social media notifications, music control, incoming calls, text and weather updates milega. Smart band built in microphone ke sath ata hai jisse Voice command diya ja sakta hai.

Latest Mi Band Magnetic charging ko bhi support karta hai. Iski help se users apne band ko Bina strap hatae charge kar sakta hai. Xiaomi ka Dawa hai iske Band ke NFC variant ki battery 14 dino tak and standard version ki battery 20 dino tak chal Sakti hai single charge par

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…