in

Milkha Singh: ‘The Flying Sikh’ Of India Ne Kaha Alvida!

Milkha Singh

Milkha Singh: India ke ‘Flying Sikh’ ke naam se jaane jaane wale Milkha Singh ne Friday 19th June ko 91 saal ki umar mein humse alvida liya. Reports ke according India ke great sprinter ki death post Covid-19 complications ke wajah se hui thi.

Milkha Singh

Milkha Singh Records

The ‘Flying Sikh’ ke records ko dekha jaaye toh unhone Asian Games level par 4 gold medals jeete hai. Aur toh aur Rome Olympics 1960 ke 400 meters finals mein woh 4th position par aaye the.

Milkha Singh

India Ke Liye Bohot Bada Loss!

India aur duniya bhar ke log iss news se bohot hi dukhi hai aur social media platforms par Milkha Singh ke alag alag famous sayings aur achievements post kar kar unki sadness express kar rahe hai. Fir chahe woh common man ho ya fir koi celebrity sabhi social media par Flying Sikh ke loss ko lekar bohot dukhi hai.

“India has lost a gem #Milkha Singh” ke tweets poore twitter par dekhne ko mill rahe hai.

Bollywood legend Amitabh Bachchan ne sprinting legend ke book ka last page ka aek quote dedicate karte hue unko tribute diya!

Indian National Congress ke Rahul Gandhi ne bhi The Flying Sikh ko yaad karte hue yeh tweet kiya.

Prime Minister Narendra Modi ne bhi Milkha Singh ko tribute dete hue apne twitter handle par yeh photo daalkar unhe yaad kiya.


Milkha Singh | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook InstagramLinkedin

What do you think?

Written by AM

UP Government Launches Elder Line Helpline For Senior Citizens

Raftaar

Raftaar Bane 1st Indian To Accept Cryptocurrency As Performance Fee