Abhi youtube Vs Tik-Tok ka bawala cha; hi Raha tha. Kae khulase hue and thereafter Tik-Tok ke khilaf India me morcha khol diya Gaya. Apne prime minister Narendra Modi Ji ke Local-vocal vaale speech ne to jaise is maamle me ghee dalne ka Kam kar diya. Unki speech sunne ke baad se to china ke sabhi apps ko delete karne ka daur chal pada. And sabse top demanding delete karne vala app Tik-Tok Raha. Log yehi nahi ruke unhone to Tik-Tok ki google play store pe rating bhi girani start kar di.

Acha isi mauke ka fayda utha ke ek app viral hue padi hai. Naam hai Mitron App. Claim kiya ja raha hai ye app swadeshi hai yaani ki made in india hai. And isi baat ke chalte dekhte dekhte 5M dowloads hogae is app ke Google Play Store par. Is video sharing app ko Tik-tok ka best alternative indian app kaha jane laga hai. But kahani me twist hai jise made in india kaha ja raha hai vo darshal india me bana hi nahi.

Pakistani Sarzami Ki Dain Hai

Mitron App | Courtesy - gadeget360.com
Mitron App | Courtesy – gadeget360.com

News18 app ki report ke according Mitron App ko Pakistani software developer Irfan Sheikh se kharida Gaya hai. However, dava ye kiya ja rah ki is app ko IIT, Roorkee ke ek student Shivank Agarwal ne develop kiya hai. aapko jaan ke hairani hogi is app ko vakai Tik-Tok ka duplicate kaha ja sakta hai and iska original Naam bhi Tic Tic hai. Jaise Hamare yaha PUMA ko Pumba bana ke becha jata hai roads pe. Well, is app ko develop Irfan sheikh ki hi company Qboxus ne develop kiya hai.

Irfan ne is app ke source code ko $34 dollars me bech diya. Indian currency me lam-sum 2500INR. Ab kise becha uski jankari nahi hai but becha jarur hai. Khair aapko bta de yaha problem Pakistan se nahi hai but problem hai privacy and made in India Naam se promote karne ki. But in reality hai to ye ek Pakistani app TIc-Tic and changes kuch bhi nahi hai bus Mitron naam rakh diya.

Rahi Baat Privacy ki to jab aap google Play Store pe iski privacy policy par click karenge to ye aapko redirect Karega shopkiller.in par jo ki poora blank hai. That means Privacy policy hi nahi hai.

Ab is condition me aapko nahi pata chalega ki Mitron App par aapke uploaded videos kaha aur kis tarike se use ho rahe. Ye Sab bhi chorie Abhi tak isko kisne kharida aur Google Playstore pe kisne upload kiya uski bhi information nahi hai. Aise me ham aap sabko is aap ko download na karne ki request karte hai kyuki ye aapki privacy ke lie bahut bada khatara hai.


Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…