Motorola ne apne latest smartphone Moto G Fast and Moto E (2020) ko launch kar diya hai. Moto G 5 Company ki Moto G series ka Naya model hai. And Moto E 2020 Moto E series ka 7th generation ka phone hai. Moto G me triple camera mil jata hai aapko Whole Punch display ke sath. And vahi baat kare Moto E2020 ka to usme aapko Dual Camera with Waterdrop notch screen display mil jata hai. Dono hi smartphones latest android 10 pe based hai.
Moto G Fast, Moto E (2020): Price and availability
Moto G Fast ka Price $199.99 rakha Gaya jo ki Indian currency me lagbhag ₹15,100 ke kareeb hai. Ye phone aapko Lone, Pearl White Color variant me mil jaega. And on the other hand baat kare Moto E(2020 ) ki to uska price rakha Gaya hai $149.99 yaani ki Indian Currency me lagbhag ₹11,300. Ye model aapko Midnight Blue colours me milega. Moto G fast and Moto E(2020) America me 12 June se pre-booking ke lie available honge. Baat kare Indian market ki to Abhi koe information nahi mili hai.
Moto G Fast: Specifications
Moto G fast 6.4-inch ki HD plus max vision display ke sath market me available hoga. Jiske pixels ki density 268PPi a and Aspect ratio 19:9 honge. Octa-core Qualcomm Snapdragon 665 processor and 3 GB RAM ke sath hoga ye phone lais. Isk e alwa baat kare internal memory ki to 32GB ki inbuilt memory milti hai jo ki aaj ke daur me kaafi Kam maani ja Sakti hai. But khas baat ye hai ki aap 512GB tak MicroSD use karke Memory ko expand bhi kar sakenge.
Moro G fast ka khas feature hai iska camera. Isme aapko triple rear camera milta hai jo isko thoda unique banana hai. ye handset 16-megapixel primary with aperture F / 1.7, 8-megapixel, ultra-wide-angle lens with aperture F / 2.2, and 2-megapixel ke macro lens se lais hai. Selfie and video calling ka khyal rakhte hue isme 8Mp ka front camera bhi diya Gaya hai. Phone me 4000mAh ki battery bhi di gae hai jo power back ko majboot karti hai. In sabke alawa aapko phone me 4G LTE, Wi-Fi, Bluetooth 5, GPS / A-GPS, 3.5mm headphone jack and USB Type-C port jaise features bhi Mil Jayenge. Phone ka weight 189.4gm hai Jo ki on an average light phone hai.
Moto E (2020): Specification
Moto E 2020 ki baat kare to isme aapko 6.2 inch HD + (720×1560 pixels) Max Vision display milta hai Jiska aspect ratio 271 PPI bataya Gaya hai. Phone me aapko octa-core Qualcomm Snapdragon 632 processor and 2 GB ka RAM bhi milta hai. Moto E (2020) me 32 GB inbuilt storage milti hai jise aap expand kar sakte ho up to 512 GB via microSD card.
Handset me 13 megapixels primary and do rear camera milte hai 2 megapixels ke. 5-megapixel selfie sensor with aperture F / 2.0 vala ek front camera bhi mil jata hai aapko is handset me. Baat agar kare battery ki to isme aapko 3550mAh ki battery milti hai. Company iske lie claim bhi karti hai ki ye single charge pe 2 din tak last karegi. Handset 4G LTE, Wi-Fi 802.11 A / B / G / N, Bluetooth 4.2, GPS, A-GPS, Micro-USB and 3.5mm headphone jack ki connectivity ke sath aata hai. Phone ke dimensions 159.77×76.56×8.65 millimetres hai and weight 185 grams.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin