in ,

Music: Top 5 Music Bands Of India!

Indian music apne classical and folk styles keliye jaana jata hai. Indian rock aek aisa genre hai joh ki Indian classical and mainstream rock ka combination hai. India ne rock music ke kai saare bands produce kiye hai aur kuch hi saalon mein Indian rock music internationally popular ho jaye toh isme koi surprise hone ki baat nahi hai!

Agnee rock band was the first rock band of India. Shruti Hasan ki band Extramentals is the first girl band in India. But aap log soch rahe honge yeh sab toh theek but which are the top 5 bands of India? So the wait is over…. Hum aapko present karte hai the top 5 bands of India.

Top 5 Music Bands Of India:

1) Indian Ocean.

Music

India ke capital Delhi se aata hua yeh contemporary rock band holds the first position among the bands in India. Indian Ocean ko India ka fusion rock genre ke pioneers maane jaate hai. Yeh band ko Rahul Ram and Sushmit Sen ne form kiya tha. Indian Ocean band ka music style folk and fusion music mein classify kiya ja sakta hai. This band has performed all over India and Indian Idol jaise competitions mein bhi yeh band judge kar chuka hai.

2) Avial- Kerala.

Music

Avial Band is a fusion of native folk music and alternative rock from Kerala. Yeh band ka naam popular south Indian dish avial ke naam par rakha gaya hai. Avial is the first ever alternative Malayali rock band.

3) Euphoria.

Music

Palash Sen ke dwara lead kiye jane wala yeh yeh band Indian pop ka pioneer mana jata hai. Yeh band ke songs humesha hi charts ko rule karte hai. Yeh band apne melody and percussion ke right balance ke naam par jaane jate hai.

4) Local Train- Delhi.

Music

Delhi based rock band Local Train apne active role ke liye famous hai. Local Train ne apna first music video ‘Aaoge Tum Kabhi’ record kiya tha jisne social media par bawaal macha diya tha. Inke kaam ko Raghu Dixit jaise musicians ne bhi appreciate kiya hai.

Agnee- Pune.

Music

Pune based Indian rock band Agnee, aek unique combination hai classic rock and Indian pop styles ka. Agnee band ka singer Mohan apne Karnatak and Hindustani classical influenced music ke liye pore industry mein bohot famous hai. Agnee is famous for its songs like ‘Sadho Re’ and ‘Sham Tanha” ke liye bohot famous hai.


Music | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook InstagramLinkedin

What do you think?

Written by AM

International Tea

International Tea Day: Chai Se Lekar Cutting Tak! Hum Indians Ka Pehla Pyaar.

Bigg Boss Winner List : Kya Aapko Yaad Hai Sabhi Winners