International Tea Day: Sham ke 4 bajte hi India ke harr gharo mein se TV, radio ki awaaz aaye na aaye srrrrr… karke chai peene ki awaaz toh sunne ko milegi hi! 21st May ko International Tea Day maana jata hai. This day is observed to express the economical, biological and physical benefits of tea.
Indians ka pehla pyaar chai ko chai ki tapriyo par cutting bhi kaha jata hai! Chai aek beverage ke alava hum logo ke liye aek emotion ban chuka hai. Badi se badi meetings bhi hum India ke log chai peete peete ya fir chai ki tapriyo pe hi kar lete hai.
Chai Vs Coffee ka debate toh never ending hai but aaj International Tea Day par hum Indians ki favorite drink chai kaise aur kaha se India mein aayi yeh dekh lete hai.
Tea leaves Asia mein India, China, Nepal, Kenya and Srilanka mein grow kiye jate hai. Chai aek aisa drink hai jo masses and classes dono type ke log peena pasand karte hai. Chai ki consumption asian countries mein sabse zyada hai because of its easy availability and low cost. Aur yeh maximum chai consume karne wali countries poore world ke adhe se bhi zyada population hold karte hai. Isiliye yeh International Tea Day bohot hi large scale tareeke se celebrate kiya jata hai.
Iss International Tea Day Par Chai Ke Kuch Amazing Facts:
- Chai is second most used drink after water
- Chai peena is beneficial for weight loss.
- China ne tea consume karna nearly 5000 years pehle start kiya tha.
- Chai ka origin north-east parts of India mein hua tha.
Chai hum Indians ke liye aek milne ka banaha hai. Kai logo ke liye toh chai aek gossip karne ka bahana hai. Sabka apna apna favorite type hota hai. Kisiko kadak pasand hai toh kisiko light. Aise bhi kisse sunne mein aaye hai ki log subha brush karne ke pehle toh chai peena pasand karte hai, aur jab tak pii na le tab tak kisise baat karna tak bhi pasand nahi karte. Kisiko chai ke Parle G ke saath pasand hai toh kisiko Chai aur sutte ka deadly combination pasand hai. Sabki hi apni apni choice hai!
Toh iss International Tea Day par chale aek cup chai peene?
International Tea | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram| Linkedin