Chhattisgarh ke Sukma-Bijapur border ke paas security forces aur Naxals army ke beech hui ladaayi mein, 22 jawano ko apni jaan gawaani padi. Ek soldier abhi bhi gumshuda bataaye ja rahe hai. 31 ko serious injuries hue hai. Media ko bataya gaya ki Naxals ne shaheed hue jawaano ke hathiyaar, bullet-proof jackets aur yaha tak ki joote bhi gaayab kar diye.
Shaheed Hue Jawaano Ko Di Gayi Shraddhanjali
Sunday morning, 4 April, ko shaheed hue CRPF jawaano ko Jagdalpur ki force camp par shraddhanjali arpit ki gayi. Union Home Minister, Amit Shah ne bhi jawaano ki death afsos jataya. Unhone Twitter par Naxals ki taraf ishara karte hue likha,”Hum shaanti aur development ke in dushmano se humesha yuhi ladte rahenge.”
Amit Shah ne Chhattisgarh ke Chief Minister Bhupesh Bhagel se bhi iss par discussion kiya.
Saturday ko, PM Narendra Modi ne bhi ghayal jawaano ki jaldi se jaldi sahi salaamat ho jaane ki dua ki. Unhone Twitter par likha,”Mere vichaar Naxal se ladte hue shaheed hue jawaano ki families ke saath hai”
Shaheed hue jawaano mein se, kuchh jawaan CoBRA(Commando Battalions for Resolute Action) ke the, wahi baaki Bastariya Battalion of the Central Reserve Police Force(CRPF) aur District Reserve Guard(DRG) ke hisse the.
Chhattisgarh Mein Aise Hua Tha Naxals Attack
Jab Chhattisgarh ke Sukma-Bijapur border par jawaano par Naxals ne achaank se hamla kiya, to ladaayi ki shuruat hui. Jawaano ki force jungle ke 2 kilometers mein faili hui thi. According to Sources, Naxals ne light-weight machine guns(LMGs) use ki thi, yaha tak ki unhone encounter ke dauraan rocket launchers bhi use kiye the.
Naxals ka yeh attack 2020 mein Minapa mein, aur 2010 mein Tadmetla mein hue attacks se kaafi milta julta tha. Saturday ko Naxals kareeb 250 the, aur unko commander Hidma lead kar rahe the. Attack hone se kuchh der pahle, 60 se 80 Naxals ko Bijapur mein dekha gaya tha. Hidma ko March mein bhi ek baar Bijapur mein dekha gaya tha. Uss ke baad se army alert par thi. Hidma ke upar 25 lakh rupaye ka inaam bhi hai. Yaha tak ki, March 2017 mein hue ek aur Naxal attack ke pichhe bhi Hidma ko hi zimmedar bataya jaata hai, jisme 25 CRPF jawaans maare gaye the.
Teen se chaar ghante tak Tekulgudam ke area mein Naxals aur jawaano ke beech bhaari goli-baari hui. Officials ne bataya ki Naxals ko bhi iss ladaayi mein bhaari losses hue hai, kyunki unhe 2 tractors mein apne logo ki bodies le jaate hue dekha gaya tha.
Naxals | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin