Release Se Pahle Hi Vivadon Me Aa Chuki Film ‘Maharaj’ Finally Netflix Par Release Ho Gayi Hai. Aapko Bata Den Ki Film Par Vaishnav Dharm Ke Sentiments Ko Hurt Karne Ke Allegations Lagaye Gaye The Jiski Wajah Se Gujarat High Court Ne Film Ko Ban Kar Diya Tha. Film Ko 18 June Tak Stay Par Rakha Gaya Tha Lekin Makers Is Decision Ko Challenge Karna Chahte The. Shayad Isiliye Gujarat High Court Ne Film Ki Screening Karayi Aur Film Dekhne Ke Baad Is Nateeje Par Pahunchi Ki Film Me Kisi Ke Sentiments Ko Hurt Karne Jaisa Kuch Bhi Nahi Hai. Aur Film Par Lagaye Gaye Stay Ko Hata Diya. Is Film Ke Rights YRF (Yashraj Films) Aur Netflix Ke Paas Hain. Jinka Is Sector Me Kafi Anubhav Rah Chuka Hai Aur Inse Is Tarah Ki Galtiyon Ki Ummeed Kam Hi Ki Jati Hai.

Not A Up To The Mark Film

Netflix

Film Ki Kahani 1862 Ke Around Ghoomti Hai Jahan Karsandas Mujli Naam Ke Ek Patrakaar Fake Saint Ka Pardafash Karte Hain. Sadhuon Ke Vesh Me Darindgi Ka Ye Daur Bahut Purana Hai Jo Aaj Tak Hamare Bharat Me Chala Aa Raha Hai. Iski Wajah Hai Loagon Ka Andhvishwas. Iske Khilaf Aawaz Na Uthana Aur Bhartiy Nyay Vyavastha Ki Dhimi Prakriya Bhi Aisi Cheezon Ko Badhawa Deti Hai. Baat Ki Jaye Film Ki To Film Ko Aur Better Present Kiya Ja Sakta Tha. Film Ki Presentation Ko Lekar Loagon Ko Shikayat Hai. Kai Loag Ise Bas Ek Mediocre Film Bata Rahe Hain.

Junaid Ki Acting Ke Charche

Netflix

Film Ki Presentation Chahe Jaisi Ho, Film Loagon Ko Pasand Aayi Ho Ya Na Aayi Ho Magar Ek Cheez Jiske Charo Taraf Charche Hain Wo Hai Aamir Khan Ke Bete Junaid Khan Ki Acting. Loag Inki Acting, Calmness Aur Simplicity Se Bahut Jyada Impress Huye Hain. Aapko Bata Den Ki Jab Junaid Khan Filmon Ke Audition De Rahe The To Aamir Ko Pata Bhi Nahin Tha. Other Star Kids Ki Tarah Inke Launch Ko Lekar Koi Shor Sharaba Nahi Hua Balki Shanti Se Is Film Ko Netflix Par Release Kar Diya Gaya. Halanki Film Ki Story Ki Wajah Se Stay Ke Chalte Film Surkhiyon Me Aa Gayi Jo Ki Ek Tarah Se Film Ke Liye Achha Hi Hai. Kyonki Aise Scenario Me Loagon Ko Yah Jaanne Ki Curiosity Rahti Hai Ki Film Me Aisa Kya Hai Jo Ise Stay Karna Pada Tha.

Mr. Perfectionist 2.0

Netflix

Loagon Ka Kahna Hai Ki Agar Junaid Apne Isi Attitude Ko Barkarar Rakhte Hain Aur Apni Acting Par Isi Tarah Focused Rahte Hain To Bollywood Industry Ko Ek Aur Mr. Perfectionist Mil Jayega. Jise Ya To Mr. Perfectionist 2.0 Ya Junior Mr. Perfectionist Bulaya Ja Sakta Hai. Aise Me Aamir Ke Liye Bhi Yah Proud Moment Hai Ki Unki Legacy Ko Unke Baad Aage Le Jane Wala Unhe Mil Gaya Hai. Halanki Iske Liye Junaid Jis Tarah Se Abhi Tak Bollywood Ki Chakachaundh Se Door Rahe Hain Unhe Aage Bhi Waisa Hi Rahna Hoga Aur Apni Acting Par Focused Rahna Hoga.


Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…