in

WowWow

Nissan Magnite – India Ki Sabse Sasti SUV Ko Mil Raha Customers Ka Behtareen Response

India me haal hi me launch hue Nissan Magnite SUV ka craze day by day badhta ja raha hai. Indian Market me launch hone vaali ye country ki sabse sasti SUV hai. Nissan Magnite ko customers ka kaafi bhayankar response mil raha hai. Nissan Magnite ek sub-compact SUV hai jisme space Kafi acha milta hi hai but price bhi kaafi affordable and sasti milti hai. Agar low budget segment ki baat kare then Nissan Magnite ek perfect SUV hai. And iska andaza aap isi se laga sakte hai launching se baad se lekar ab tak lagbhag 50,000 se bhi jyada customers ne iski booking karva li hai. and ye graph badhta hi ja Raha hai. So basically ham aapko iss Shandar SUV ke kuch specifications se rubru karvane vaale hai jiske chalte customers iski taraf kaafi heavy quantity me attract ho rahe hai and iski popularity bhi badhti ja rahi hai.

Nissan Magnite Ki Kya Hai Power And Engine?

Nissan Magnite - Wikipedia

Nissan Magnite me baat kare engine ki, then aapko engine do options me milte hai. Pehla engine 1ltr petrol ka hai jo 71HP ki power aur 96 Nm Turk generate karta hai. Vahi doosra 1ltr turbocharged petrol engine hai jo 10hp aur 160 Nm Turk generate karta hai. Ye SUV 5 speed gearbox ke sath manual aur automatic dono transmission ke option me milti hai. \

Nissan Magnite ki milege ki baat kare then company claim karti hai 18.75kmpl se lekar 20kmpl tak. But in reality, kitna hoga vo aapke chalane aur uses pe depend karta hai.

Magnite ko company ne CMF-A+ platform par tyaar kiya hai. Market me iss SUV ke 4 trims utaare gae hai. Inme XE, XL, XV and XV Premium include hai. Along with that customers, ko 20 different grades me se choose karne ka option milega. Jisme customers Engine, Transmission aur option features ke behalf par model choose kar sakenge.

Check Out Nissan Magnite On-Road Price in New Delhi

Nissan Magnite me aur bhi kae lajawaab specifications ko include kiya Gaya hai. Jinme 8 inch ka touchscreen infotainment system milta hai jo ki Apple Car play aur Android auto ko support bhi karta hai. Iske alwa aapko iss SUV me 7 Inch ki Inch TFT Screen, Steering Mounted Controls, Wireless Charging, Dual Airbags, Speed ​​Sensing Door Lock, Smart Connectivity, Around View Monitor, Air Purifier, Ambient Mood Lighting, Rear Parking Sensor, Traction Control, Hill Start Assist ke sath sath ABS, EBD, HSA, HBA bhi mil jaenge.

Daam Kya Hoga? (Pricing)

Nissan Magnite, the cheapest compact SUV, launched in India at ₹4.99 lakh |  BusinessInsider India

Kaam kya kya milta hai ye to aapko hamne bata hi diya ab baat karte hai daam yaani ki price ki. Then ye perfect Nissan Magnite SUV aapko indian market me 5.59lakh ki starting range me mil jaati hai. Jo ab tak ki sabse sasti SUV hai.


Ab paisakamae telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook Twitter Instagram Linkedin.

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

tv

Tv News Zyada Dangerous Hai ya Corona Virus?

CORONA BADA HO GAYA