in

Over Eating Se Pareshan? 5 Strategies To Help You Stop Over Eating.

Over Eating

Over Eating: The lock down has changed and messed our whole life. Sleep Cycle se leke food habits tak lock down ne sab sara kaam kharab kar rakha hai. On one hand koi log iss lock down mein fit hue hai toh kai logo ne over eating karke weight gain kiya aur lazy hogaye.

Over Eating

Iss time period mein humne raat raat bhar jaag kar binge watching kiya hai humare favorite movies and shows ka. But iske saath kai logo ne aek bohot hi bad habit joki binge eating also known as over eating develop kar liya hai. Iss syndrome mein hume humari favorite movies ya shows dekhte wakht koi na koi snacks like wafers, chips biscuits etc chabate rehne ki aadat hai.

Yeh sab additional calories mein ginate hai jo humare normal food ke calories mein nahi count hota hai. But kyunki hum gharpe hi hai maximum time aur physical activity zyada nahi hai jiske wajah se yeh excess calories burn nahi hote hai. Aur as a result weight gain ho jata hai.

~ Strategies To Help You Stop Over Eating.

1) Enjoy Your Favorite Foods In Rotation.

Over Eating

Hum sabka apna aek favorite foods ka list hota hai. Over eating stop karne ka yeh matalab nahi hai ki hum apne favorite dishes khaana completely bandh karde. Agar aapko apne favorite dishes ki craving bohot hoti hai toh usse more frequently bana kar khaiye. Iska matalab yeh nahi pura container bana kar khaa jao! Limitation mein enjoy karo who food kyunki aapko pata hai ki ab aap who dish frequently khaane wale ho.

2) Avoid Eating Directly From The Container.

Over Eating

Humari yeh aadat hoti hai ki hum agar chips lekar baithe ho toh poora ka poora dabba hi lekar baith jayenge. Over eating ko control karne ke liye yeh practice ko stop karna hoga. Aapko chips khaane hi toh aek small bowl mein leke baitho jisse aapka portion control bhi ho jayega.

3) Dont Stuff Your Mouth With All That You Have On The Plate!

Over Eating

Jaldi jaldi khaana khaane ki aadat bohothi common hai. Sadhguru ise bohot acche se samjhate hai. Humare 32 teeth hai toh khaana jab hum khate hai tab usse hum 32 times chew karkar hi swallow karna chahiye. Jaldi chew kiye bina khaane se food stomach mein acche se digest nahi hota hai and causes digestive problems. So araam araam se khaye koi train thodi chooti ja rahi hai!

4) Plan Your Next Meal.

Over Eating

Jab aap aek meal finish karte hai tabhi aap apna next meal plan karke rakh dein. Isse aap who meal ke time confused nahi rehte hai and kuch bhi utha kar consume nahi kar lete!

5) Develop Good Eating Habits.

Over Eating

Above steps ko follow karne ke thode din baad se jab aapka over eating habit thod control mein aa jaye tabse develop good eating habits. Once you develop good eating habits then there’s no looking back. That becomes a habit and such a habit which you’ll regret breaking!


Over Eating | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by AM

Star Kids Jo Bollywood Mein Hue Flop But Business Chalane Mein Hue Hit!

Salt Reduction : WHO guidelines