in

Protein Ke 4 Vo Veg Sources Jinse Aapko Milegi Lazawab Immunity

Jaise ki hum sabhi jaante hai ki, Protein hamare body ke liye kitna zaroori hai. Because iski kami se hamare body me hair fall, skin problems, weight loss jaise kai problems hum practically mehsoos kar sakte hai. That’s why ye body ke liye bahut hi zaroori hai. And agar aap weight ko badhana ya kam karna chahate hai to bhi aapko iski zaroorat padti hai.

Vahi agar aap log apne immune system ko bilkul thik rakhna chahte hai then, aapko aaj hi apni diet me kuch changes karne shuru karna padega. Protein-rich food Shamil kare jo aapke immune system ko boost Karega. And ye zaroori nahi ki agar aapko immunity ko badhana hai to chicken yaa mutton hi Khao. Aise hi, kuch Protein-rich food hai jo ki vegetarian ho yaa non-vegetarian dono hi apne diet me include kar sakte hai.

Immunity Badhaane Waale Foods

Soya chunk
Soya chunks are the Protein sources which can boost your immunity
No.1 par aata hai, soya chunks, Agar healthy body ke liye koi healthy Prot ein hai to vo hai soy protein, agar aap USDA ke anusaar padhenge to 100-gram soya me aapko lagbhag 53-gram Protein mil jaata hai. Aur soya prot ein Isliye bhi zaroori hai kyuki usme saturated fat kaafi kam hota hai, aur ye aapke health ke liye bahut achha bhi hai.
Guava (Amrud)
Guavava ya amrud s are the Protein sources which can boost your immunity
No.2 par aata hai Amrud. Amrud hamare body me protein ke liye best resource hai, isse garibo ka seb(apple) kaha jata hai. Aur agar aap 100gram amrud khate ho to vo aapko 3gram protein deta hai. Isme antioxidant, fibre aur Protein paya jata hai, jo aapke immunity ko strong banata hai.
Kishmish
Dry Fruits Kishmish s are the Protein sources which can boost your immunity
No.3 par hai Kishmish. Agar aap apni health ko lekar serious hai to aapko apne diet me kishmish ko zaroor rakhna chahiye. Kishmish me Protein, antioxidants, fibres, potassium, iron paya jata hai. Aapko per 100gram par 3.39-gram protein bhi milta hai kishmish me.
Jackfruit (kathal)
Jack fruit  are the protien sources which can boost your immunity
No.4 par hai Jackfruit. Isko vegetarians ka non-veg bhi kaha jata hai. Kathal me aapko vitamin B-6, Protein bhi mil jata hai. Jo aapke digestive system ke liye bhi achha hai. And ye aapke immune ko boost bhi karne me bahut help karta hai. And Isko khaane se aapko 100gram kathal se 1.8 gram protein bhi deta hai.

Ye saare kuch common food and dry fruits hai jo aapko healthy bana sakte hai. Koi bhi food ko diet me include karne se pehle apne doctor se zarur consult kar le. Kisi ko agar allergies ki problem hai to koi aur protein food khaaye aur apni immunity ko strong kare.

[starbox Id=jogi]

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame  Facebook Instagram Twitter Linkedin par

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Sushant Singh Rajput Ki Terahvi Par Unke Pita Hue Emotional

Doctor Strange 2: Chiwetel Ejiofor Ki as Mordo Vapsi Tay