Royal Enfield ne aaj apni do famous bikes Interceptor aur Continental GT ki nayi looks unveil kari hai.

India: Royal Enfield launches Interceptor 650 and Continental GT 650 in  India - Wait is over | The Economic Times
Source – http://bikeindia.in/

MiY Option

Aaj Royal Enfield ne apni do bikes Interceptor aur Continental GT ko nayi looks ke sath launch kara hai. Royal Enfield ne in bikes ke sath customers ko MiY (Make-it-Yours) option bhi diya hai. MiY option se ab customers apni bike ko apne tareeke se customize karva sakte hai. Is option se customers apni choice aur interest ke hisaab se bike ko kese bhi customize karva sakte. Royal Enfield ne kaha hai ki Bike seat, sump guards, touring mirrors, fly screen aur baki equipment ko aram se customize karvaya ja sakta hai.

Also read : Adani Green Energy Ltd. Ka Share Price Phoncha All Time High

Features : Interceptor

Royal Enfield ki nayi Interceptor 650, 2 naye single tone colors Cayon Red aur Ventura Blue me available hogi. Dual tone me Downtown Drag aur Sunset Strip colors included hai. Royal Enfield ne nike ka chrome variant Mark 2 se update kardiya hai. Bike purane colors Orange Crush aur Dual Tone Baker Express me bhi available hogi.

Also read : Jaaniye Kya Hai KreditBee And Kya Ise Use Kar Sakte Hai

Features : Continental GT

Royal Enfield Continental GT ko 5 naye colors variants ke sath launch kiya gaya hai. Bike 2 single tone Rocker Red Standard aur British Racing Green Standard color variants me available hogi. Also, bike ka Chrome variant Dux Deluxe aur Ventura Storm in dual tone Mr. Clean Paint Scheme me bhi ayega. Royal Enfield ne dono bikes ko 5-7 color variants ke sath launch kara hai.

Also read : Jaaniye Konse Stocks Me Invest Karna Hoga Is Time Unsafe

Engine Capacity

Pehle ki tarah Royal Enfield ne dono bikes ko  648cc capacity air / oil cooled parallel twin engine diya hai jo ki 47.65 PS ki power generate karta hai aur 52 Nm ka torque. Royal Enfield ne major change dono bikes me slipper clutch as a standard feature diya hai.

Also read : Kya Apple Company Ko $308.5 Million Fine Pay Karna Padega ?

Price

Royal Enfield ne Interceptor ke standard variant ko Rs 2,75,467 ke price par ; custom color variant ko  Rs 2,83,593 ke price par aur chrome variant ko Rs 2,97,133 ke price par launch kiya hai. Royal Enfield Continental GT ka standard variant Rs 2,91,701 ke price par ; custom theme variant Rs 2,99,830 ke price par aur chrome variant Rs 3,13,367 ke price par launch kardiya hai. Dono bikes ki booking bhi start ho chuki hai.

Also read : 24 March Ko Open Hoga Barbeque Nation Ka IPO, Jaaniye Price And Baki Details


Ab Rv Talks telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook Twitter Instagram Linkedin

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…