Recently social media par misinformation spread ho rahi thi jo status hai White Rhino ka use lekar . Social media platforms par news aai ki abhi recently ye extinct hue hai . Rhino ki zookeeper ke saath ek photo bhi viral ho rhi thi aur public mein ye btaya gaya ki aakhiri saans unhone zookeeper ke haatho mein hi li.Public ne to is story ko sahi maan lia .
Reality | White Rhino
But reality ye hai ki rhino ki subspecies abhi extinct nhi hui hai ye 2018 mein hi functionally extinct ho chuki thi.Aur ye koi nai news nhi hai .News true hai but recently nhi 2018 mein hi extinct ho chuke th.Lekin ab reproductive technologies ka use Kiya jayega jisme frozen sperms ki help se embryo create karaya jayega . Scientists rhino ki subspecies ko save karne ke liye ye sab kar rahe hai.
Ol pejeta ,the African sanctuary yahan par two female white rhino abhi bhi hai.Aur naye white rhino ke liye IVF technology ka use Kiya jaa sakta hai frozen sperm ki help se .Ispar work chal raha hai .
Sudan | White Rhino
Last male Northern White Rhino Ka Naam Tha sudan , jiski 2018 mein death ho gayi thi Ol pejeta conservatory in Kenya mein.sudan 45 years old tha and wo several age related health issues se Suffer kar raha tha . Aur iski death ke baad is species Ko functionally extinct species ghoshit kar diya gaya tha. Kyonki abhi jo do female white rhino hai wo naturally reproduction nhi kar sakti .
Northern White Rhino
Northern white rhino world ke second largest land animal hai after elephants. Pehle ye east and central Africa mein bhi paaye jaate the.uske baad illegal poaching ki gayi . Jis karan inki population kam hoti gayi .1995 mein the international rhino foundation ne bhot koshish ki aur millions of dollars bhi lgayi taki is subspecies ko extinction se bachaya jaa sake.
Uske baad ye involve ho gaye Garamba national park in the democratic republic of Congo , jisko Northern white rhino ka main home kaha jaata tha . Lekin is park mein bhi population decrease hoti jaa rahi thi.#White Rhino
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin