Samaj Aur Hum: Aaj hum ek aise smaaj me rah rahe hai janha har kisi ko sirf khud ki hi padi rahti hai. Kisi ko kisi se kuch lena dena nai hai sab apna matlb nikaalne ki talaash me ghumte hai. Chori, murder, rape jo kabhi bahut bada crime tha. But aajkal to bahot trend me hai. Janha ek taraf desh ko unchaiyon tak pahuchane ki baat hoti hai then vahi dusri taraf jab ye cheeze baahar nikal kar aati hai. Then bahut sharmindagi hoti hai. Jahna ek taraf ldkiyon ko unke haq dilane ki baat kahi jaati hai, and dusri taraf feminism (fake) ke naam ke jhande lehraaye jaate hai.
Naa jaane aaj ka youth kya hi kar rha hai. Kitaabon, akhbaaron me bade bade articles chaape jaate hai. And Samaj Aur Hum dono ko hi hamara haq dilane ke liye laws banaye jaate hai. But kyaa sahi me hamko ya kisi ko unka haq mil paata hai? kyaa shi me jis situation me hote hai usse kbhi ubhar paate hai? Is samaaj me sirf vahi ubhr paata hai jo sirf apne dil ki sunta hai. And jise log kya kahenge se koi farak nahi pdta.
Log to rokte hi hai unka to kaam hai rokna. Because is daur me koi nahi chahta ki kisi ko bhi usse jyada success mile. Badlav vaha aata hai Jaha hum sirf khud ki sunte hai. And jo Hamara dil kare hum vo karte hai. Naa ki jo log Kabhi Zindagi me matter nahi krte unki baaton ko sunkar apne Kadam rok lete hai. And kuch aisa kar baithte hai jisse aage jaake pachtaana padta h. And then vahi log bolte hai ki agar tab kuch kar lete to Aaj Kahan hote.
Bahot purani baaten hai har koi isi par baat krta hai and jo nahi karta vo ye sab baaten kahin na kahin se sunta hi h. But kya sach me log ise zindagi me apna paate hai? Kya sch mai in sab se unhe fark nahi padta?
Answer Kya Hai Then Iska
Answer ye hai ki aise sirf kuch hi log jinhe zindigi ka tazurba hai. And usi tazurbe se sikh kar ye jaana ki farak nahi padna chaiye. Then Kaei baar wo bhi isse maat kha jaate h. And kuch log to itne bikhar jaate hai ki kbhi apni jaan lene tak koshish karte hai, kabhi sar uthakar chalne ki himmat hi nahi kar paate.
Ab in cheezon ko badlne ka waqt shyd aa gya hai. Kisi aur ke liye na sahi par khud ke liye ek ek kadam badhane ka wqt aa gya hai. Because jab hum khud ke liye karenge tabhi baaki bhi hmare liye krenge and isi tarah is samaj ki tarkki bhi shayad ho skti hai..
Well, ek purani kahawat hai:- khuda sirf uski madad krta hai jo khud ki madad krta hai..
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin