Tesla aur Paypal ke founder Elon Musk bahut jald hi Indian telecom industry me apne kadam rakhne vaale hai. Elon apni company Startlink ke through bahut jald hi Reliance Jio aur Airtel jaise internet service providers ko jhatka dene vaale hai. Iske lie registration bhi almost chalu hogae hai and vo pehle aao pehle paao ke basis pe hai.
Aapki jankari ke lie bata de Starlink ki internet services SpaceX comtrol karti hai. And ye ek aerospace company hai jiski foundation 2002 me Elon Musk ne hi rakhi thi. India me apni services dene ke lie Starlink ne apne portal ko live kar diya hai. And booking bhi start kar di hai.
According to the reports 2022 tak Starlink apni internet services deni start kar degi india me. But uske lie aapko https://www.starlink.com/ par jakar pre-booking karni hogi. As if now services Delhi, Bengaluru, Mumbai, Kolkata, Chennai, Hyderabad jaise metro cities me hi services degi Starlink. Although jab aap booking karenge to that time bhi aapko locations ki informations mil jaengi.
Starlink Internet ke lie aapko $99 dena hota hai jo indian curreny me lagbhag ₹7300 as security dena hota hai. Ye security aapko router aur baaki cheezo ke lie dene hote hai. After payment aapki location bhi confirm hojati hai. Well security 100% refundable hai. As in if any case after booking aapka man badal jae then aap booking cancel kar sakte ho and paise apne return le sakte ho.
Elon Musk ne ye bhi kaha ki beta teating ke dauran speed 50-150Mbps tak di jaegi consumers ko thereafter 300Mbps. Aapko bata de startlink poori duniya me internet services provide karne ki soch raha hai. Aise me aapko kya lagta hai India me ab jio ki kurshi rah paegi.
Paisa Kamae ab telegram par bhi available hai. So bina kisi deri ke hamara channel join kare also hame Facebook | Instagram | Twitter aur LinkedIn par follow karna na bhule.