in

Times Square Par Dikhi Lucknow Ki Betiyon Ki Tasveer, Kiya Desh Ka Naam Roushan..

Institute of Engineering And Technology(IIT) Ki Do Student Ko America Ki Prathishthit Morgan Stanley Internship Prapt Hui Hai. Khass Ye Hai Ki In Students Ko Honour Karte Hue Inki Photo Profile New York City Ki Times Square Building Ke Billboard Par Display Bhi Ki Gai Hai. Isse Students Ke Family Maembers Ke Sath Hi Institute Bhi Khud Ko Proud Mehsus Kar Raha Hai. Institute Ki B.Tech Last Year Ki Anshika Yadav Aur Yashika Tyagi Ko Is Prathishthit Internship Ke Liye Select Kiya Gaya.

Anshika, What Is She Doing In Present…

anshika yadav , yashika tyagi
P.C:Amar Ujala

Baat Kare Present Time Ki To Dono India Mein Hi Rehkar Kaam Kar Rahi Hain Aur Iske Liya Unhe 87 Thousand/Month Ka Stipend Bhi Diya Ja Raha Hai. Students Ko Yeh Internship 6th Months Ko Mili Hai. Iske Baad Unke Performance Ke Basis Par Aage Job Ke Bi Avsar Mil Sakte Hain. Jise Lekar Dono Hi Bahut Excited Hai.

Anshika Ne Btaya Ki Voh Information Technology Se Last Year Ki Student Hain. Anshika Ne Pichle Saal Iske Liye Online Application Diya. Jiske Baad Pehle Online Test Hua Aur Fir Three Rounds Mein Interview. Iske Baad Last Mein Uska Selection Ho Gaya. Usse Mumbai Mein Deployment Mili Hai Aur Present Mein Voh Online Kaam Kar Rahi Hain.

Anshika Ne Bataya Ki Selection Ke Baad Unka Welcome Karne Ke Liye Ek Week Tak Subh – Shaam Times Square Building Ke Billboard Par Photo Display Ki Gai. Unke Father Pramod Kumar Yadav Private Job Karte Hain Aur Mother Hiuse Wife Hain.

Yashika, What Is Shi Doing In Present…

Yashika Tyagi Ne Bataya Ki Yeh Apne Trah Ka Alag Anubahv Hai. Abhi Unhe Bengaluru Mein Deployment Mili Hai. After Internship Placement Bhi Mil Sakta Hai, Abhi Online Work Ho Raha Hai. May Mein Offline Hoga. Times Square Mein Photo Display Hona Apne Aap Me Bahut Proud Feel Kara Raha Hai.

Unke Father Vipin Kumar Tyagi Aur Mother Veeda Tyagi Ise Lekar Bahut Happy Hain. Vahi Institute Ke Nideshak Pro.Vineet Kansal Ne Bhi In Students Se Phone Par Baat Karke Badhai Di. Unhone Kaha Ki Yeh Pradesh , AKTU Aur Institute Ke Liye Proud Ki Baat Hai.


Times Square Par Dikhi Lucknow Ki Betiyon Ki Tasveer, Kiya Desh Ka Naam Roushan.. |Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

What do you think?

Written by Neetu Kumari

Bhagyshree Ne Apne New Look Se Badhaya Internet Ka Temperature

Mohina Kumari Ke Ghar Ai Khushkhabri