Yu to social media pe kae saari baatein hoti rahti hai. Kabhi bhi kuch bhi trend kar sakta hai, barhaal iss time Whitehat Jr kaafi debates ka hissa bana hua hai. Ya yu kahe Whitehat Jr ko kaafi jyda troll kiya ja raha hai. But sawal ye hai troll kiya kyu ja raha hai and kisne ki shuruvat.

Whitehat Jr Kya Hai?

We believe aapme se shayad kae log whitehat jr ko naa jante ho. But jo social media pe hai and Cricket ke shaukeen hai vo jrur jante honge. Whitehat jr ek Ed-tech startup hai jisne 2 saal ke gap me hi kae saare milestones create kiye. Sone pe suhaga vala kissa tab hua. Jab India ke Super Giant Ed-tech Company Byju’s ne Whitehat Jr ko takeover kar liya. Vo bhi $300million ki funding de kar.

Whitehat Jr basically 1:1 live coding classes ko launch karne vaali pehli first organization hai. Discovery East Asia ke Ex CEO Karan Bajaj ne iski foundation rakhi. As Per details on Internet and other specific sources Karan ek yogi bhi hai and best seller novelist bhi. Currently Whitehat Jr me more than 11000 teachers work kar rahe hai. And more than 1million students around the globe coding classes ke enroll kar chuke hai.

Catch amazing, money savvy offers at Amazon.

Kissa Shuru Kaha Se Hua

Image result for pradeep poonia vs whitehat rv talks

Whitehat Jr jab launch hua tha use ek saal ke ander kaafi positive response mile. And logo ne concept ki bhi wah waahi ki. And after that kae competitors bhi khade hue like Vedantu, Coding Ninjas & Topper etc. Sab hi logo ne Whitehat Jr ki tarah program launch kiya. But unfortunately utna success and fame nhi gain kar pae. Whitehat Jr ki marketing logo ko ladne me majboor kar diya ki apne bacho ko coding classes ke lie enroll kare.

Check out great deals on latest fashion collection on Amazon.

According to Pradeep Whitehat Jr ki marketing rat race ko badhava de rahi thi but that time kisi ne gaur nhi kiya. Aug 2020 me jab Byju’s Whitehat Jr ko takeover karti hai then badnaami ka daur shuru hota hai. Iske peeche main reason tha Byju’s ki market capturing. Iske baad hi Scene me aate hai Pradeep Poonia. Jo pehle se hi Byju’s ke against me campaign run kar rahe the. But jab Whitehat Jr ko Byju’s ne takeover kiya to vo uske khilaaf bhi hogae. And vaha se shuru hua kissa. Pradeep ne kae documents and Videos ko sabke saamne rakhe jise Whitehat Jr ki team ne fake declare kiya.

Kaun Hai Pradeep Poonia

Image result for pradeep poonia vs whitehat rv talks

Book new album ‘BE’ at Amazon

Pradeep Poonia IIT-BHU 2013 ke pass out hai. Ve kaafi time se Byju’s ke against campaign run kar rahe hai. Pradeep ka kahna hai ki India me Ed-tech companies education se jyda sales pe work kar rahi hai. Unhone kae martaba videos and post dale Whitehat Jr & Byju’s ko badnaam karne ke lie. Pradeep jise expose word se highlight karte hai. But Pradeep ki harkete kaafi jyda biased hai.

Kya Pradeep Ka Campaign Fake Hai?

Social Media pe iss time popular Pradeep claim karte hai ki unki ladai Ed-tech Companies se hai jo parents ko loot rahi hai. But Pradeep ki baatein aur Pradeep ke actions match nhi khaate.
Hamare ek reporter ne Pradeep se contact karne ki kosis ki. Aur unse poocha ki
 agar aapki ladai Ed-tech companies se hai. And unke padhane ke tareeko se hai then aap sirf Whitehat Jr ko hi kyu target kar rahe hai? Pradeep ne isko ignore kiya aur kaha maine sirf Whitehat Jr ko try kiya baakiyo se lena dena nahi hai. Pradeep ka ye statement clearly btata hai ki Vo Paid Campaign Run kar rahe hai Byju’s Whitehat Jr ke against.

Iske alawa ek article hamne Whitehat Jr ke ads ko lekar publish kiya tha. Jo ki hamare team member ne pradeep ke sath share kiya. But irony ye hai Pradeep uspe Apne Naam na hone ki shikayat kar rahe the. And sath hi Expose word ko highlight karne ki gujarish kar rahe the. Ye saf saf darshata hai ki Pradeep ek Fake Campaign Run kar rahe hai Whitehat Jr ke khilaf. And unka main aim limelight me ana hai and competitors se paisa banana.

Catch amazing, money savvy offers at Amazon.

High Fees & Advertisement Ko Lekar Shuru Kiya Tha Campaign

Pradeep ka kahna hai ki unhone Byju’s aur Whitehat Jr ke against campaign unke advertisment and high fees ko dekhte hue shuru kiya tha. Altough Whitehat Jr ne apne Advertisment me changes kiye in critisim ko Sport spirit se accept karte hue. But sawal ye uthata hai ki Pradeep jo high fees ko lekar campaign run kar rahe hai. Uska base totally Illogical hai. Because Whitehat Jr ke alawa bhi kae Ed-tech Companies hai. Jo isi price ke as pas classes avail karva rahi hai. Hamne Pricing ki kuch list prepare ki hai. Jisse aapko pata chalega ki Price almost same hai sabhi coding classes ki bus agenda Whitehat Jr ke khilaf hai.

Ps : Mentioned prices without discount price hai as per the website

ab agar aap upar baaki Ed-tech companies ke pricing ko dekhe to on an average vo bhi ₹750/class de rhe hai as per their site.
Ab aise me kuch sawal bante hai Pradeep Ji ke so called paid campaign par.

  1. Agar sabhi Live 1:1 Coding Classes Providers ki Pricing same hai then Whitehat jr ko hi target kyu ?
  2. Byju’s Ke Whitehat Jr ko takeover karne ke baad hi kyu jaaage Pradeep Ji?
  3. Baaki Companies ko Kyu nhi Limelight karte hai as fees to sabhi ki hi jyda hai unke statements ke according?
  4. Agar koe organization Advertisement me investment kar rahi hai to Vo scam kyu hai?
  5. Koe agar aapke against ho kar biased na hone ki baat kare to usko Whitehat Jr ka OJM ka hissa mante ho kyu ?

Well we’re not here to criticize Pradeep Poonia or Praising Whitehat Jr. Ham bas is biased scam ko expose karna chahte hai. Because Pradeep ji sirf aur sirf Whitehat Jr ko aim kar rahe hai rather than others too.

Conclusion

Coding aane vaale time ka future hai. As per the sources Pradeep kaafi naami Ed-tech Company ke member hai. (jald hi doosre article me ham with proof baat karenge). Byju’s ke against campaign Pradeep ne usi company ka hissa hone ke chalte kiya. Pradeep ka sath vo frustrated engineers de rahe hai jinhone sirf ratta maar kar padhai ki. Aur aaj unemployed baithe hai. As in unse hazam nhi ho raha 8-9 saal ke bache aaps developed kar rahe hai and vo aaj bhi unemployed hai.

So talking about the selling things then har ed-tech company kar hi rahi hai. Jaha tak baat force selling ki hai then parents are much advance than Pradeep and other guys are thinking. Vo samjhte hai kaha aur kya and kisse lena hai paise invest karke. Koe bhi kisi ko force nahi kar sakta atleast adults n parents ko to kataee nahi, iss baat ko leke kisi bhi organization ko defame karna sarasar galat hai.


Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame  Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Kya Is Actor Ko Date Kar Rahi Hain Huma Qureshi? Sonakshi Ki Shadi Ki Tasviron Ne Khola Raaj

Director Mudassar Aziz Se Breakup Ke Baad Huma Qureshi Ka Naam Pichle…

Kamal Hasan Starrer “Indian 2” Ka Dhamakedar Trailer Release, DamdaarAction Se Public Ke Udaye Hosh.

Kamal Hasan Apni Blockbuster Film Indian Ka Sequel Lekar Wapas Maidan Me…

Smriti Irani Birthday Special: Jab Politics Me Aane Ke Baad Gae Tulshi

Film industry me jaane ka sapana har kisi ka hota hai. Koe…