Zika virus outbreak in india
Kerala ke andar ji ka virus ka pahla case dekhne Ko Mila Hai 24 year old women main Thiruvananthapuram mein. Or jo ye 24 year old woman Hai Ye Ek pregnant women hai. Or in women ko 28 jine ko symptoms lg rhe the like fever , headache and red spots. Preliminary examination Kiya Gaya tab Paya Gaya ki unhe Zika virus positive hai.
24 Year Women Case | Zika virus
Us women ki condition stable hai unhone ek baby ko bhi janam diya hai on July 7. Aur un women ki koi travel history bhi nhi rahi . Aur unka house Kerala – tamil nadu border ke close hai.Is case ke baad officials of district surveillance , vector control unit, and state entomology unit inhone alag alag tarah Ke measures lene shuru kar diye is disease ko spread hone se rokne ke liye. Jahan par bhi is virus ke cases dekhe gaye hai vahan se samples kiye gaye hain.
Zika Virus Viral Infection
Aur sath hi sath 13 persons ko suspect Kiya ja raha hai ki unko zika virus ho sakta hai aur yeh zika virus Aedes mosquito se failta hai . Or is virus ke samples National institute of virology in Pune mein bheje ja rahe hain.Zika ek viral infection hai , joki mosquitos se spread hota hai. Aur sexual transmission se bhi ye spread ho sakta hai lekin ye contagious nahi hai .
First Case In World | Zika virus
1947 mein Uganda mein ek forest hai Zika forest isike naam par is virus ka name rakha gya hai kyonki 1947 mein pehli baar ye monkeys mein paaya gaya tha .aur fir 5 saal baad 1952 mein humans ke andar pehla case detect kiya gaya tha Uganda ke andar . Aur pehli baar sabse bada outbreak 2007 mein island of yap in Pacific mein dekhne ko mila .
Aur uske baad 2015 mein ek bhot hi major outbreak dekhne ko mila Brazil mein. Aur ye virus microcephaly se milta julta hai ye paaya gya . Aur ye pregnant women ke liye bhot jyaada dangerous hota hai. Aur Guillian Barre syndrome bhi dekhne ko mila tha .
Zika Virus In Brazil
2017 mein study on Brazil confirmed cases , the US national institutes of health study estimated the fatality rate at 8.3%. 2017 mein 80 cases Zika virus ke dekhne ko mile india ke jaipur mein.
In 2017 , WHO ne ek report issue ki thi or kaha tha : On May 2017 The ministry of Health and family welfare Government of India reported three level laboratory confirmed cases of zika virus disease in bapu Nagar area Ahmedabad district Gujarat state, India. #Zika virus
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | linkedin