France ki motor manufacturing company Renault aaj apni popular SUVRenault Kiger ko officially launch karne vala hai. Jise upcoming kuch months me India me bhi officially launch kiya jaega. Jo desh me Hyundai Venue, Maruti Suzuki Vitara Brezza, Tata Nexon, Mahindra KUV300 and the newer Kia Sonet, Toyota Urban Cruiser and Nissan Magnite ko takkar degi. Bata de ki Kiger ko haaliya Launch Nissan Magnite ke platform par tyaar kiya jaega. Jiske chalte iske aas pass hone ki sambhavana jataee ja rahi hai. Iss compact SUV ko kae baar tests karte hue Dekha Gaya hai. Jisse iske designs ki kuch jaankari saamne aae hai.
Sporty Design:
Baat kare design ki to isme ek sculpted tailgate, an attractive-shaped LED tail lamp cluster, high mount stop lamp with reflectors, a tailgate-mounted spoiler, wiper and bumper diya jaega. Iske sath hi iski license plate recess bumper par inscribed hai. Aage ki taraf Black bumper cladding, 16.inch alloy wheels, black B.pillar and regular pull. Type door handles dekhe ja sakte hai.
Renault Kiger ke other major design details me clamshell shaped bonnet, split headlamp cluster, LED daytime running lights, wide air intake and grill section ke beech Renault badging dekhi ja sakti hai. Well dhyan dene vaali bat ye hai ki simple look ki jagah isko sporty look me tyaar kiya gaya hai.
Interior:
Iske interior me Dual-tone colour scheme pesh ki jaegi.Isme Apple Car Play aur Android Auto connectivity ke sath Dashboard-integrated eight-inch touchscreen infotainment system, automatic climate control, cruise control, push-button start and stop buttons, multi-functional steering wheel with mounted controls, etc. shamil hoga.
Check Out the amazing deals on Car Decor
Engine Specifications:
Company Naturally aspirated 1.0-litre three-cylinder turbo petrol engine Kiger me use kiya jaega. Vahi umeed ki ja rahi hai iske top variant me company CVT Automatic Transmission ko include karegi. Filhal price ko lekar kuch bhi Kahana jaldbaazi hogi. But daava kiya ja Raha hai iski ex-showroom price lagbhag 5 lakh se shuru ho Sakti hai.