Assam New Cattle Bill
Assam chief minister himanta biswa sarma ne first day of budget session of the state assembly on Monday par Ek legislation bill propose kiya hai jismein unhone kaha hai ki cattles ko protect kiya jaaye state mein. Aur isi tarah Ka Kanoon BJP ruled States jaise ki – Uttar Pradesh , Madhya Pradesh and Karnataka mein bhi hai.
Main Objective of the Cattle Bill
Sabse pahle hamein yeh Janna jaruri hai ki is Cattle Bill ka objective kya hai to chaliye jante Hain. To is biil mein kaha gaya hai ki hamen cattles ko protect karna chahie by regulating their slaughter, consumption and unki illegal transportation ko bhi rokana chahie. Ye bill koshish Karega ki cows ka jo slaughter Kiya jata hai vah na kiya jaaye.
Aur slaughter jabhi Kiya Jayega jab Ek veterinary officer Ek certificate issue Karega jis mein likha hoga Ki yah animal fat Hai slaughter karne ke liye.Aur kahan ja raha hai ki Jin cows ki age 14 year se above hai aur permanently incapacitated hai due to work , breeding, accident , or deformity unko certified Kiya Jayega slaughtering purpose ke liye.
Where this slaUghtering happen? | Cattle Bill
Aur slaughtering bhi har jagah nahi hogi yah Keval vahi hogi Jahan per government dwara recognise aur licensed slaughterhouses honge. Agar dekha jaaye to Assam ke andar Kamakhya temple Hai Jahan per animals ki slaughtering ke jaati Hai. Aur yah ho sakta hai ki kuchh religious places ko Dhyan Mein rakhte hue ye exemption kiya jaaye . Aur is baat ka bhi Dhyan Rakha Jayega ki cow ka slaughter to bilkul nahin hoga.
Restrictions on transportation of cattle | Cattle Bill
Is bill Mein yeh bhi kaha ja raha hai ki bahar se koi bhi cattle ka transportation nahin hoga Assam mein . Aur Assam mein bhi within Ek district se dusre district main bhi ban hai cattles ki transportation.
Restrictions on sale? | Cattle Bill
Is bill Mein yah bhi kaha Gaya Hai Ki kisi Ko bhi allow nahin hoga Ki vah beef ya fir beef se Bane hue products ko sell karein aur sirf government hi permit Karengi ki kahan par yah sari chijen hongi. Aur isme jo sabse important chij add ki gai hai voh yeh hai ki jo predominant population areas hote hain Hindu ,sikhs ,jains ya fir koi bhi known beef eating community un sabhi areas mein beef ya kisi type ka bhi beef product sell nahin kiya Jayega. #Cattle Bill
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin