Delhi Lockdown: Delhi Walo ke liye buri khabar hai, kyunki Delhi mein lockdown lag chuka hai. CM Arvind Kejriwal janhit mein jaari kar diya hai ki 19th April Monday se 26th April Monday tak Delhi Lockdown jaari rahega.
Delhi ke CM ka ye decision Delhi mein badhte COVID case ko dhyaan mein rakhte hue liya gaya hai. Yeh 7 din humari mummyo pe bhari pad sakta hai, kyunki iss ke iss Delhi Lockdown ke dauran koi domestic help ko bhi gharpe aana allowed nahi hai.
Delhi Ke Laundo Ke Liye Buri Khabar!
Delhi ke laundo ke liye buri khabar ye hai ki iss Delhi Lockdown ke dauran who gaadi mein geddiyan marne nahi nikal payenge. Aur toh aur delhi ki saare bars aur liqour shops bhi iss dauran bandh rahenge.
Delhi se bahar travel karne walo ke liye acchi khabar yeh hai ki valid ticket hone par unhe travel karna allow kiya jayega. Delhi ke gym freaks ke liye buri khabar yeh hai ki gym’s 30th april tak bandh rahenge. Chinta na kare, aek week din gharpe pushup marne se aapke dolle utar nahi jayenge!
Bacchon ko leke shopping malls mein bhi nahi jaa paoge kyunki 30th april tak who bhi bandh rahega. Ab corona ke dusre anniversary ke pahele agar usko mitana ho to aise chote mote balidan toh dene hi padenge na.
Aree Bhai Anaaj Aur Doodh Ka Kya?
Jaise woh kahavat hai “Kuch na milna se kuch milna hi behtar hota hai”. Waise hi complete lockdown lagne se toh ye partial restrictions hi behtar hai. Iss Delhi Lockdown se virus ka spread kaafi hadd tak control mein aa sakta hai.
Delhi ke aam public ko basic needs jaise ki milk, food grains etc ki chinta karne ki koi jarurat nahi hai. Government ne essential items ki delivery bilkul chalu rakhi hai. Jo delhi ke naujawan iss mahine dulha, dulhan banne ja rahe ho unke liye bhi kuch rules rakhe hai. Jaise shadiyon mein 50 people tak ka allowance diya gaya hai. Funerals mein 20 people tak ka limit diya gaya hai.
Government officials, Police and sanitization facilities. Agar aap inme se kisi mein belong karte ho toh iss Delhi Lockdown se aapko exemption milta hai. Aur agar kuch emergency ke wajah se aapko travel karna pade toh aapko aek valid I’d card ke saath travel karna padega.
Delhi ne Thursday ko 25,000 fresh cases record kiya the. Aur delhi ki woh public jo Inn dino bina kaam ke bahar nikle unhe fir police ke dando se bhagwan hi baccha sakta hai. Toh savdhaan rahe satark rahe Delhi Lockdown mein bina kaam ke bahar na nikalna.
Iss Delhi Lockdown ke dauran hospitals ki capacity aur beds increase karne pe dhyaan diya jayega. Delhi CM ka yer kehna hai ki Lockdown ke khilaaf toh woh bhi hai butbadhte cases ke wajah se ye step uthana pada hai.
Delhi Lockdown | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin