in

WowWow

Elon Musk’s Space X Reportedly Beats Out Jeff Bezos

Space X ke founder Elon Musk ke liye ek badi jeet hui, jisme unke company ne moon par astronauts land karane ki contract jeet li hai. Ye contract Americi research agency National Aeronautics and Space Administration ( NASA ) ke taraf se Space X ko di gayi hai.

Space X
Space X

Es khabar ko washington post ne tod diya tha, jiska ownership Jeff Bezos ke pas hai, jinaki blue origin company bhi pahle commercial human landing system banane ke contract ke liye competete kar rahi thi.

WaPo ka yeh decision Bezos ke liye ek “bada jhatka” tha, jo lambe samay se es contract ko jeetna chahti thi or NASA ( National Aeronautics and Space Administration ) ke liye vahan lautane ke prayas ka hissa banana chahta thi.” Jeff Bezos ne bataya ki jab ve mehj 5 saal ki umr ke the, or jab Neil Armstrong or Buzz Aldrin ko moon par ghumte dekhte the, wo unke liye “ek seminal moment” hota tha.

Artemis Mission, pichle Apollo Mission ke baad pehli baar moon par kisi human ko vejne ki tayari me hai.

NASA ne etne bade project ko handle karne ke liye kai companies ko select kiya hai. Es contract ke initial phase me teen companies ko award kiya gaya tha: Space X, Blue Origin, or Dynetics. But akele jari rakhne ke liye sirf SpaceX ka chayan, NASA ( National Aeronautics and Space Administration ) se vishvas ka ek pramukh vote hai ki company puri tarah se es project ko handle kar sakti hai.

Space X ne kai tarah ke rocket develop kiya hai, jinhone satellites, cargo or astronauts ko space mein le gaya hai, or yahan tak ki pichle year international space station ki pahali commercial space trip bhi ki hai.

America ke president Joe Biden ne Former Sen. Bill Nelson (d-fl) ko NASA ka head nominate kiya or next hearing tak ye easily confirm hone ki puri sambhavna hai.

NASA ne officialy apne twitter account par ek post ke saath es news ki confirmation di hai :-


SPACE_X | Elon Musk | Rv Talks | Ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

Rahul Gandhi Cancels Election Rallies In Bengal

Delhi Lockdown

Delhi Lockdown: Kya Delhi Mein Laga Firse Lockdown?