NASA ne recently hi ek 2.9 milion dollars ka spacecraft companies contract launch kiya tha. Contract jeetne wale team ko contract diya jayega ek moon tak jaane ke liye spaceship bane ke liye. Isse contact ke liye bahut si top aeronautic componies ne apply kiya tha. NASA ne 17th April ko results declare kia and Elon Musk ke company, Space X ke Starship ko select kia contract dene ke liye. 1972 ke baad yeh NASA ka pahla attempt hoga humans ko wapas moon par bhejne ke liye. Space X ne recently hi spaceship ke department me bahut progress kia hai and unka ship Starship ek bahut bada hit raha hai. NASA ne pahle moon par jaane wale ships, Apollo series ko banaya tha ka but iss baar NASA private companies par dependent hona chahti hai joh ki space exploration me interest rakte hai.
Elon Musk And NASA Ke Contract Ke Details:
NASA ke Advanced Exploration Systems Division ke deputy associate administrator, Mark Kirasich ne kaha “We have to be able to provide for recurring lunar services”. Isse baar NASA ne lambe time tak moon ke travel ka plan banaya hai joh ki ek bahut bada ambition hai. Isse pahle NASA ne 1969 to 1972 Apollo Series ke ship ko launch kia tha moon tak ke travel ke liye joh ki mankind ke history ka ek bahut bada step tha. NASA ne isse pahle Mars par bhi spaceships bheje hai. NASA ke official Watson Morgan ne kaha ki Elon Musk Ki company Space X ko pahle ek test flight karana hoga apne lander ka saath moon par. NASA ke contract ke according Space X ko 2024 tak ek Spaceship ready karna hoga astronauts ko moon par bhejne ke liye. 2020 me, Elon Musk ke Space X pahli private company bani jisne apne crew ko International Space Station bheja. Yeh contact Space X ke history ke history ka ek bahut bada milestone hai. Elon Musk ne apni khusi twitter par dikhayi aur apne tweet me kaha “NASA Rules”.
Aur Konsi Companies Ne Kia Tha Isse Contact Ke Liye Apply:
NASA ka Yeh contract spacecraft ke companies ke liye ek bahut bada chance tha and kuch sabse bade companies ne isse contact ke liye apply kia tha. Jeff Bezos ki company Blue Origin and Defense contactor Dynetics Inc. World ke richest and world ke 3rd Richest person, Jeff Bezos and Elon Musk ke beech me competition tha isse contract ke liye. Elon Musk ne sabhi obstacles ko overcome karte hue isse contract ko finally paa hi liya. NASA ne apna pahla commercial human ke lender ke contract ke liye Space X ke Starship ko choose kia. NASA ke according woh lander 2 American Astronaut ko moon ke surface par lekar jayegi.
Elon Musk | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin