in

WowWow

Janiye 2021 Ke 5 Sabse Richest Indians Ke Baare Me

Richest Indian: Mukesh Ambani

Mukesh Dhirubhai Ambani 2021 me 13th time bane Richest Indian . Mukesh Ambani ka net worth 88.7 Billion Dollars hai. Corona ke accident ke baad bhi Mukesh Ambani ke profit me 14 percent ka increasement aaya. Mukesh Ambani Reliance Industries LTd. Ke chairman, managing director aur sabse bade share holder hai. IIFL Wealth Hurun India Rich List ke according March ke lockdown ke baad bhi Mukesh Ambani har hour 90 crore rupay ka income karte hai.   Mukesh Ambani Asia ke sabse zada richest person hai and World ke 10th sabse richest individual.

Mukesh Ambani richer by $17 billion in 2019; Here's a look at wealth of  Asia's richest man | Business News – India TV
source : India Tv

2nd Richest Indian: Gautam Adani:

Gautam Shantilal Adani second sabse richest indian hai . Gautam Adani, Adani Group ke Chairman and Founder hai. Adani Group ek Ahmedabad based multinational conglomerate hai joh port making ke business me involved hai and aur bhi kai India based operations me infrastructure ka work karti hai. Adani 2021 me wealth gaining ke topic me top par hai aur is year unhone 2 lakh crore se bhi zada ka income kia hai ise year. According to Forbes Gautam Adani ka net worth 50.5 billion dollars hai 2021 me. Gautam Adani ka major source of income Infrastructure hai.

Gautam Adani, founder, Adani Group | Financial Times
source: Financial Times

3rd Richest Indian: Shiv Nadar:

Shiv Nadar 3rd sabse richest Indian hai. Shiv Nadar HCL Technologies Limited ke founder and Chairman hai. Shiv Nadar ne mid 1970 me HCL  ka foundation kia tha phir usse apni mehnat se aage badhaya . Shiv Nadar ne Shiv Nadar Foundation ko bhi banaya hai. Shiv Nadar ka net worth 23.5 billion Dollars hai. Shiv Nadar ke income ka main source Software Services hai.

HCL's Shiv Nadar to be chief guest at RSS Vijayadashmi - The Economic Times
source: The Economics Times

4th Richest Indian: Radhakishan S. Damani :

Radhakishan Damani 4th richest indian hai. Damani ek inverstor, businessman and DMart ke founder hai. Radhakishnan Harshad Mehta Ke saath bhi kaam kar chuke hai aur phir unhone  2000 me stock market quit karke DMart ki suruat ki .Damani ne apna pahla store POWAI me 2002 me banaya and aaj pure India me DMart ke 214 stores hai. Radhakishan Damani ki net worth 16.5 Billion Dollars hai. Damani ke income ka major source Retail and investment hai.

Radhakishan Damani's Rs 1,000 crore home: DMart founder buys new property  at Mumbai's Malabar Hill - The Financial Express
source : The Financial Express

5th Richest Indian: Uday Kotak:

Uday Kotak 5th Sabse richest indian hai. Uday Kotak , Kotak Mahindra Bank ke executive Vice Chairman and managing director hai. Uday Kotak ne 1980s me apna khud ka business start kia aur jald hi financial services , stockbroking , investment banking, car finance aur life insurance and mutual fund me ek bada naam bana liya. March 22, 2003 ko Kotak Mahindra Financial Limited, India ki pahli bank bani jisse Reserve Bank of India ne banking license diya. Uday Kotak ka net income 15.9 Billion Dollar hai aur unki Income ka main source banking hai.

Uday Kotak
source : EY

Richest Indian | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

Karnan Movie Ka Review: Dhanush, Mari Selvaraj Ne Kiya Ek Sath Kaam.

McCarthy

McCarthy Or Unke Husband Ne 2 Movies Kiye Release Pandemic Me.