Government ne recently hi declare kia India me ab sabhi 18 ke age ke upar ke logo ko corona ka Vaccine diya jayega and 28 April sae Corona Vaccine registration bhi start ho jayega.. India me ab tak sirf 45 ke age ke upar ke logo ko hi vaccine diya jaa raha tha and corona ke badhte cases ko dhyaan me rakh kar Indian Government ne yeh naya policy nikala. India me abhi Corona ka second wave chal raha hai and India ke bahut saare states high alert par hai. India me abhi 3 vaccines ko emergency use ke liye approval diya gaya hai jinke naam Covaxin, Covishield, and Sputnik V hai. India me bahut rapid speed sae vaccination ka process chal raha hai and India me vaccines ke productions ko bhi badhane ke liye bahut saare naye labs banaye jaa rahe hai.

Corona Vaccine registration
source : Firstpost

Kaise Kare Khud ka Corona Vaccine Registration:

Officials ke according, 18 aur isse zada ke age ke sabhi log khud ko corona ke vaccination ke liye CoWIN and Aarogya Setu Aap par register kar sakte hai. CoWIN and Aarogya Setu app playstore par available hai and isse pahle bhi CoWIN app ka use Corona vaccine registration ke liye kia jaa raha tha. Aap aage mentioned steps ko follow karke aap apna corona vaccine registration kar sakte hai:

  • Aap CoWin app download kar sakte hai ya CoWin kae official site cowin.gov.in par jaakar corona vaccine registration kar sakte hai.
  • Next step mae aapko apna mobile number ya Aadhar Card number de kar app mae register karna hoga and registration complete karne kae liye aapke phone par SMS sae ek OTP aayega.
  • Register karne kae baad aap apne requirement kae hisaab sae date and place choose kar kae aap vaccination karwa sakte hai.

Document required for Corona Vaccine registration

Aap ko koi ek photo ID and Unique ID use karna hoga registration kae liye jaisa Aadhar Card, Pan Card, Voter ID, Driving License Passport, MANREGA card and so on.

 Government ke according 1 May sae all over India 18 sae zada age ke sabhi logo ka Corona Vaccination start kar diya jayega. India me vaccines ke 2 dosages hote hai so hum sabhi atleast 1 sae 2 months ka time expect kar sakte hai vaccination ke liye. India me abhi sirf Bharat BioTech ki banayi gayi vaccine, Covaxin hi ek aur vaccine hai jiska use emergency ke condition me kia jaa sakta hai. India me Sputnik V ka production start hogaya hai but ab tak usse use me laaya nahi gaya hai, abhi Sputnik V ke use me 1 months aur lag sakte hai.

Corona Vaccine Registration on Co-Win App
source : India.com

Kya Hone Wale Hai Inn Vaccines Ka Prices:

SII ka kahna hai ki woh Covishield Vaccine ke liye private hospitals sae Rs 600 charge karegi and government hospitals sae Rs 400. Vaccine ke 2 dosages hone wale hai toh hum log atleast Rs 800 ya Rs 1200 expect karte sakte hai vaccine ke prices ke liye. India me isse pahle 45 ke age ke logo ko mandatory vaccination ke liye eligible maana gaya tha and unka government hospitals me vaccination free tha and privates hospitals me hi unse charge lia jaa raha tha. May 1 sae India me sabhi 18 to 44 tak ke age ke logo ko apne vaccination ke liye pay karna hoga and prices government hospitals me private ke comparison kam rahne wale hai. The Indian Express ke ek report ke according India ke bahut saare states jaise Uttar Pradesh, Assam, and Madhya Pradesh me 18 ke age  ke logo ko bhi state ke taraf sae free vaccination diya jayega. Aap sabhi jisse state mae bhi ho jaldh sae jaldh corona vaccine registration karwaiye and apna vaccination karwaiye.

Hopes High For COVID-19 Vaccine in India, Govt Releases SOP For Vaccination  Drive | All You Need to Know
source: India.com


Corona Vaccine Registration | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…