India me ek Bill ready ho raha hai jo crypto assets jese ki Bitcoin ki trading, transferring, issuing aur mining ko criminalize kar dega.
Also read : Janiye Kya Is Time India Me Bitcoin Me Investment Karna Safe Hai
The Drop
Since February, Bitcoin ki value aasman chu rahi thi with a record value of $ 61,783 per coin. Investors Bitcoin and cryptocurrency ko inflation ke against ek helpful agent maan rahe hai. Unka belief hai ki Bitcoin 2020 ke baad aye economic fall se recovery me bhot bada role play kar raha hai. Even though, raat ko ek senior government official ne Reuters (international news agency) ko ye bataya ki India ek Bill ready kar raha hai jisse Bitcoin jese crypto assets ko trade, transfer, khareedna ya issue karna criminalize ho jayga. Iske baad se Bitcoin ki value ek hi din me 5.3% se gir gayi or ab ek coin ki value $ 55,865 hai.
Also read : Bank Strike:- 2 Din Ke Liye Bank Rahenge Band
Effects
Although, government official ki statement ke baad Bitcoin ki value me 5.3% ka drop aya hai lekin abhi bhi India me is time 8 million se bhi jyada investors around 10,000 crore rupees ( $ 1.4 billion ) worth ki Bitcoin and other crypto currencies hold aur transact kar rahe hai. Monday ke fall ke baad bhi investors ka belief yahi hai ki government ke is decision se kuch farak nahi padega. Crptocurrency exchange Liquid, jo based in Japan hai, ke CEO, Seth Melamed ka kehna hai ki government ban ya acceptance se koi farak nahi padega and vo irrelevant hai kyuki Bitcoin and baki cryptocurrencies already decentralized hai.
Also read : Janiye Virat Kohli Konse 10 Businesses Ke Maalik Hai
Finance Minister Ka Kya View Hai
Although, India ki Finance Minister Nirmala Sitharaman ne clarify kara hai ki Bitcoin and dusri cryptocurrencies par complete ban lagane ki koi planning nahi hai. FM Sitharaman ne ye bhi kaha hai ki ek cabinet note ready kiya ja raha hai jo Bitcoin and cryptocurrencies ko lekar government ke plans aur formulations ki puri information dega and ane vale dino me, it will be announced. Unhone ye bhi kaha hai ki abhi RBI bhi cryptocurrency par nazar banaye rakhe hai and from their side, cryptocurrency ko ban karne ka bhi koi irada nahi hai.
Also read : Kya TATA Ne Elon Musk’s Tesla Inc Ke Sath Kari Hai Deal? JANIYE Tata Ne Kya Kaha
Paisa Kamae ab telegram par bhi available hai. So bina kisi deri ke hamara channel join kare also hame Facebook | Instagram | Twitter aur LinkedIn par follow karna na bhule.