Onions ji haa pyaaz! pyaaz ne kiya Kangana Ranaut ko fir aek baar Twitter par viral. Kangana Ranaut ne haal hi mein twitter par Chaitra Navratri ke avsar par Ashtami Bhog ki thaali ka picture upload kiya tha. Ab uss thali mein, aek bowl mein onion rings bhi maujood the.
Twitter Hua Garam!
Ab uss thali mein Onions dekh kar twitter ke users ne Kangana Ranaut par dhava boll diya! Ab bhala fast ke chalte pyaaz kon khata hai bhai?, Humare yaha toh fast mein pyaaz, lehsun khana mana hai aise kuch logo ke twitter par reactions the.
Ab isko lekar kuch time baad Kangana ko yakeen hi nahi hua ki unke post ke wajah se twitter par onions trend kar raha hai. Ab agar twitter ki public sher hai toh bhai Kangana Ranaut Sawa Sher hai!
Unhone ne controversy ka reply karte hue kaha ki Hindu religion rigid nahi hai baki religions ki tarah. Unka fast tha aur unki family ne insist kiya ki who thoda salad khaa le toh usmi konsi badi baat ho gayi? Aisa unka kehna tha.
Itne Saste?
Consumer affairs ke hisaab se onions ka price pichle one year se 60% kam hogaya hai. 2019 -2020 mein jiss per kg price 80-100 Rs tha woh ab girr ke 40 Rs per Kg ho chuke hai.
Onions jiss mein high amount of Antioxidants hote hai who cholestrol levels ko kam karne mein kaafi helpful hote hai, jiss reason se heart attack hone ka risk kam ho jata hai.
Aapka ko jaan ne mein badi khushi hogi ki Cancer Fighting Compounds aur blood sugaer ko control mein rakhne ki properties bhi iss simple se pyaaz mein hote hai!
Kuch easy tricks iss wonderful vegetable ko aapke diet mein add karne ke liye:
- Soups and salads ke tarah bhi aap le sakte hai.
- Omlettes and egg dishes mein bhi onions ko acche quantity mein add kiya ja sakta hai.
- Major indian households mein maximum dishes onions ke base se hi banta hai.
Toh bhale hi kitchen mein onions katne se aapke aankhon mein aasu aaye na aaye but iss vegetable ne kangana ranaut ke aankho mein toh aansu la diye.
Onions | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin