Congress party ke President Rahul Gandhi ko aaya corona positive. Haal hi mein Rahul Gandhi ne apne saare election Campaigns aur Election rallies Covid ke badhte cases ke wajah se cancel kiya tha.
West Bengal Assembly Elections ke chakte hue Rahul Gandhi Bengal mein hi the kuch dino se. Unhone apne saare election rallies cancel kiya tha Covid ke badhte cases ko dhyaan mein rakhte hue.
Rahul Gandhi ne twitter pe lejakar kaha ki unhe mild symptoms laga aur unka Covid report Positive aaya. Unhe apne gharpe pe hi quarantined kiya gaya hai. Who apne mother joh ki present India National Congress ke president Sonia Gandhi hai and unke sister Priyanka Gandhi se contact mein nahi aaye hai.
Prime Minister Narendra Modi ne bhi twitter pe tweet karke apne Well-Wishes diye. Former congress party member and former Indian Prime Minister Manmohan Singh ko bhi corona positive aaya tha. Apparently 88 year old Manmohan Singh ne Covaxin vaccine ke dono doses le liye the. Doctors ka kehna hai ki ab woh stable hai.
Rahul Gandhi 2019 mein the Indian National Congress ke Presidential role se resign kar diya tha. Ab unki mother yani ki Sonia Gandhi hai Indian National Congress ki President. Rahul Gandhi jo ki member of parliament hai 2019 aur Wayanad (Kerala) ke constituency se election ladte hai woh pichle kuch dino se west bengal mein the. Doctors ka maan na yeh hai ki unhe infection waha se hi contract hui hai.
West Bengal mein Rahul Gandhi ke alava PM Narendra Modi, Amit Shah and All India Trinamool Congress ki leader aur State West Bengal ki current Chief Minister Mamata Banerjee bhi pure state mein votes ke liye rallies aur gatherings organize kar rahe hai.
Aisa lagta hai ki government ko ab unke voters ki jaan se zyada toh ab unke votes aur power mein rehna zyada important hai.
Jab India mein 2.5 lakhs se bhi zyada fresh cases aa rahe hai daily par election rallies aur gatherings ko dekh ke toh ye hi lag raha hai ki humare desh ke leaders tak toh ye information ja hi nahi raha hai!
Rahul Gandhi | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin