#Rajasthan Vedic Shiksha Board .Rajasthan ne vedic siksha sansthan board ko kholne ka ek bada decision lia hai. Ye abhi implement nhi hua hai par discussions mein hai.aaj present india ke andar science , ancient science , traditional science and jo yoga hai in sab cheezo ko link kiya jaa sake .
Vedic siksha sanskar board ise develop kregi. Technical and Sanskrit education minister ne kaha hai ki ek committee set up ki jayegi isi ke liye and ek naye board aane waale 4-5 mahino mein aa jayega .
Vedic Education | Rajasthan Vedic Shiksha Board
Iske approval ke baad vedic education ka course kis type se banega , iska structure kya hoga , konse students ko diya jayega , konsi class ko diya jayega aur state based college and schools ke andar kaise diya jayega in sab par dhyan diya jayega. Yeh sirf Rajasthan based schools and colleges media Jayega. Ye initiative isliye liya Gaya Hai taki aaj ki modern education ko Vedic education ke sath link Kiya ja sake.#Rajasthan Vedic Shiksha Board
RBSE | Rajasthan Vedic Shiksha Board
Rajasthan board of secondary education 10th and 12th students ko pass karne ke liye criteria bhi build kar rahi hai kyunki board exams cancel Ho chuke hain. Jin bacho ne bahut mehnat ki hai woh sabhi abhi isi stress mein hai ki kaise marks diye jaayenge konse marks add kiye jayenge , konse internal assessment ke marks add honge , kya unhe apne dream college mein admission milega aur kaise ye sab allocate honge marks aur ye sab kab tak hoga .#Rajasthan Vedic Shiksha Board
Bacho ke man mein bhot saare sawal hai jinka Jawab RBSE board jald se jald dene ki koshish kar rhi hai. Aur doosri traf aise students bhi hai jo ki bhot happy ki ki exams cancel Ho chuke hai ab to hum pass ho hi jayenge .
Students Of Rajasthan | Rajasthan Vedic Shiksha Board
21 lakh students ne Class 10 and 12 ke exams ke liye appear kiya tha. Rajasthan government ne ek committee constitute ki hai jisme 10-12 students je marks criteria ko lekar ek formula taiyaar kiya jayega. Aur sath hi sath bahut sare exam ki date bhi postpne kar di gai Thi unke liye bhi ab decision lena hai ki unhen kab karaya jaaye. Jaise ki RTET 2021 test June 20 ko hone wala tha lekin coronavirus ki situation ko dekhte hue use postpone karna pada tha.#Rajasthan Vedic Shiksha Board
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin