Third Wave in India in next 2 to 4 weeks
Maharashtra covid-19 task force ka kahana hai ki agle 2 to 4 weeks Mein covid-19 ki Third Wave a sakti hai. Aur is task force Ko chair Kiya jata Hai Maharashtra ke chief minister udhav Thackeray ke dwara. Kal Jo meeting hui thi usme bataya gaya hai ki second wave ke baad agle 2 se 3 hafte Mein third wave aa sakti hai.
Prediction | Third Wave
Task force ke dwara Jo prediction lagaya gaya hai usmein kaha hai second waves se double cases third wave mein dekhne Ko mil sakte hain. Agar Ham Maharashtra ki report dekhi to first wave mein 19 lakh cases dekhne ko mile the aur second wave Mein 40 lakh cases dekhne ko mile. Or ye Maana ja raha hai ki 80 lakh cases third wave mein dekhne Ko mil sakte hain. Aur active cases 8 lakh tak ho sakte hai.
10% of all cases children or young adults mein dekhne Ko mil sakti hai. Aur lower middle class people jinko first or second wave mein itna effect dekhne ko nahin mila unko thirdwave mein jyada effect dekhne ko mil sakta hai.
Dr Shashank Joshi | Third Wave
Dr Shashank Joshi member of task force Unka kehana hai ki covid appropriate behaviour dikhana bahut zaroori hai kyunki Jaise UK Mein hua Hai second wave ke just end hone ke baad UK koshish kar raha tha unlock karne ki aur usi ke 4 hafte mein thirdwave dekhne ko milega ye kaha gaya tha. Aur kha jata hai ki Bharat mein bhi ye model follow ho sakta hai. Aur kahan jaa raha hai second and third wave ke beech Mein 100 days ka difference ho sakta hai.
Lower middle class | Third Wave
Task force ke dwara bataya ja raha hai ki jo lower middle class people hai unko bahut had Tak ye effect kar sakta hai. Aur unke dwara yah bhi bataya ja raha hai ki jis tarah se testings kam hoti ja rahi hai bahut sare undetected cases bhi honge.
Delta Plus Variant | Third Wave
Delta variant SARS COV 2 pehli baar last year Maharashtra mein report kiya gaya tha . Aur isiko second wave ke liye responsible btaya jaata hai . Delta plus variant pehli baar march ke mahine mein Europe mein detect kiya gaya tha last year Third Wave
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin