in

OMGOMG

Tokyo Olympics 2020 – World War 2 Ke Baad Ho Raha Kuch Aisa Jo Kar

Tokyo Olympics

Aap soch rahe honge ke kya bhai world war 3 toh chalu nahi hogai? Nahi Nahi itne bure din bhi nahi aa gaye. Yha ham baat kar rahe hai olympics ki and usse related facts ki. Covid 19 ki vajah se Tokyo Olympics 2020 ko postpone kiya gaya 2021 me. Ab aap kahoge isme kya hi khaas hai vo to sabhi games events ko kiya gaya. But khaas baat ye hai ki 2021 me hone vaale Tokyo Olympics ka season name Tokyo Olympics 2020 hi rahega. Jo ki after world war 1 & 2 pehli baar ho raha hai. Aapne genrally dekha hoga if ek season miss hojata hai kisi bhi event ka then usk rebranding nae year ke according hoti hai. Example ke lie maan lijie IPL 2020 agar vo cancel hota then 2021 me usko IPL 2021 kaha jata na ki IPL 2020.

Tokyo Olympics 2021: Overseas spectators banned for the event due to  coronavirus

2020 Summer Olympics jo 24th july se 9th august tak Tokyo japan me hona tha. Ab jab Covid-19 bade bade desho mein lockdown karwa sakta hai toh olympics ko toh postpone karva hi sakta hai. Vo kehte hai na “Bade Bade Deshon Mein Aisi Choti Choti Batein Hoti Rehti Hai”.

Naam Mein Kya Rakha Hai? – Tokyo Olympics 2020

Aapko lag raha hoga ke agar olympics 2020 se postpone hokar 2021 mein kar di gayi hai toh uska naam 2021 Tokyo Olympics kyu nahi kar dete? Ab pura olympics hi shift kar diya hai toh naam badalne mein kya problem? But jaisa ki Shakespeare ne kaha hai “What’s In A Name”?

Toh Olympics ka title Tokyo 2020 se Tokyo 2021 isiliye nahi change kiya hai kyunki marketing aur branding purpose mein koi problem na aaye. Jaise apne IPL aur baki matches mein crowd allowed nahi waise hi olympics mein bhi overseas crowd ko enter karne nahi diya jayega. Ab itne saare matches humne crowd ke bina dekh liye hai toh ab olympics bhi crowd ke bina hi sahi.

Masks now required for players on sideline as part of new NFL COVID-19  protocols - Tokyo Olympics

Ab Covid ka toh pata hi hai aapko ke kaise jaldi chune aur bolne se fael jata hai toh olympics ke organizers bhi kaafi dhyaan se monitor kar rahe hai tokyo mein covid ke cases na badhe. So that olympics ki preparation mein koi problem na aaye. 

Bapre Baap Itna Paisa!

Tokyo Olympics 2020 ko postpone karne ki vajah se organizers ko lumpsum 5.8 Billion dollars ya yu kahe almost ₹4,32,33,22,90,000 ka heavy loss bear karna pada. Paise itne hai ki ginte hue bhi jaban ladkhada jaa rahi hai.

Check out Tokyo's completed National Stadium for the Olympic Games

Aapko bata de Tokyo Olympics me 205 countries and lagbhag 11,000 athletes participate karne vaale hai. Baat kare events and games ki then around 339 sport events isme hone vaale hai. Iss baar kae nae games bhi launch kiye gae hai jo dekhna kaafi dilchasp hoga. Baat kare games ki then iss baar aap 3*3 basketball, BMX and Madison cycling ko pehli baar dekhenge olympics me.

Jis tarah se nae games Olympics me add ho rahe hai, vo din dur nahi lagta jab hamare yha ke gali cricket, gilli danda aur kho kho bhi olympics ka part hojaenge.

Reports ki maane then Japan ke Pandemic Failure ki vajah se Tokyo Olympics ko shayad dobara se consider kiya ja sakta hai. As in abhi tak to Japanese Government ne koe action nahi liya hai but le sakta hai. Khair jab tak koe action nhi liya ja sakta tab tak ke lie to aap ye maan lo ki Tokyo Olympics 2020 23rd July se 8th August tak hi honge.


Tokyo Olympics  | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by AM

Best Non- Chinese smartphone In Budget Of Rs.10,000

Dostana 2

Dostana 2 Me Vicky Kaushal Ya Rajkumar Rao Ko Liya Jaye.