in

WowWow

Tokyo Olympics: Electrician Ka Ladka Pahoncha Tokyo Olympics

Tokyo Olympics

Tokyo Olympics: Kehte hai sapne bade dekhne chahiye! Sapne aise dekho joh aapko apne neend se jagah de. Aise hi bade sapne dekhne waale ki kahani aaj hum lekar aaye hai aapke paas. Yeh kahani hai Rahul Rohilla ki joh ki aek electrician ke bete hai. Haan aapne sahi suna hai aek electrician ka ladka pahoncha Tokyo Olympics mein.

Tokyo Olympics

Tokyo Olympics: Adhoore Sapne

Rahul Rohilla ki Tokyo Olympics tak ki kahani kaafi inspiring hai. Rahul ke father aek electrician hai aur unki mother aek housewife hai. Rahul ne apni practice 2013 mein start ki thi but 3 saal ke baad unhe apni practice bandh karni padi thi kyunki woh seriously bimaar padd chuke the.

Unke parents ki monthly medicines ki cost hi ₹10,000-12,000 ho jaati thi jiske wajah se unhe apne diet aur walking shoes ke liye unke pass paise hi nahi bachte the. Iske wajah se unhe apna Tokyo Olympics ka dream adhoora chodna pada.

Maa Baap Bane Bhagwaan Ka Roop!

But kehte hai na maa baap bhagwaan ka roop hote hai! Rahul practice na karne ke wajah se akhsar dukhio rehte the aur yeh baat Rahul ke mata pita dekh nahi paye aur unhone Rahul ko firse practice chalu karne ko motivate kiya. 2016 mein Rahul ne firse apni training aur practice double mehnat se shuru kar di.

Rahul ko train karne wala koi coach nahi tha jiske wajah se unke bade bhai ne hi unhe train karna start kar diya. Aur jald hi Rahul national level tournaments ke liye select hogaye. 2017 tak Rahul army mein bharti hogaye aur unhone Tokyo Olympics tak pahonchne ki mehnat chalu kardi.

Rahul ki poori mehnat safal gayi kyunki haal hi mein Tokyo Olympics ke Brisk Walk Race category mein woh select hogaye. Rahul Rohilla sahi mayne mein aek role model hai unn logo ke liye joh apne financial status ya society ke darr se apne sapno se bhaag rahe hai.

Tokyo Olympics

Manzil abhi durr hai mere yaar, mushkilo se hoga paar. Tujhse kyu nahi hoga yaar?


Tokyo Olympics | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook InstagramLinkedin

What do you think?

Written by AM

Pyaar

Pyaar: An Amazing Tale Of Love! Janiye Yeh Auto Driver Aur Tourist Ki Love Story

MSD

MSD Hue Twitter Pe Troll For His “Plant Trees” Campaign!