- Manali
- Dharamshala
- Dehradun
- Nainital
- Rishikesh
Summer Vaccations ek bahut acha time hote hai ek holidays ke liye. India me dunia bhar ke kuch sabse best hill stations and tourist destination hai jinhe aap apni family ya friends ke saath kar sakte hai visit isse summer. Covid 19 ke spread ko dhyaan me rakhte hue bahut saare state government ne apne quarantine aur safety measures liye hai. Summer Tourism ki baat kare toh India me sabse famous tourist destination hamare country ke hill stations hai jaha dunia bhar se log summer vacations spend karne aate hai.
Manali:
Manali, India ke kuch top tourist destination me se ek hai. Kullu Manali ek mountain valley hai and yaha aap ek bahut hi fresh environment ka experience paa sakte hai. Agar aap city ke disturbance se khud ko alag karna chahte hai ya nature ke paas jaana chahate hai toh Kullu Manali aap ke liye best destination hai. Kullu Manali summers me ek bahut hi green environment rahta hai, Mountains green rahte hai aur wether bahut hi pleasant hota hai. Agar aap sports ke fan hai toh aap Kulu Manali me bahut saare summer sports ko bhi try kar sakte hai. Manali me sabse zada log September me aate hai Snowfall ke liye and winter vacations ke liye. Manali ek bahut hi famous honeymoon destination bhi hai toh agar aap newly-wed hai toh aap ko yeh place zarur try karna chahia.
Dharamshala:
Dharamshala, Himachal Pradesh ki kuch sabse famous cities me se ek hai. Dharamshala ke apne kuch bahut unique features hai joh aap ko kahi aur nahi dekhne ko milenge. India ka sabse famous lake, Dal Lake bhi Dharamshala me hi hai. Dal Lake ek bahut bada tourist destination hai and yaha par har saal lakho log aata hai Dal Lake par boat ride karne ke liye. Bhagsu Waterfall yaha ka ek bahut prominent destination hai and India ke kuch sabse zada holy Shiv temples me se ek Bhagsunath Temple bhi yaha par hai. Agar aap Dharamshala me hai toh yaha ke man made features me se kuch sabse famous destination yaha ka cricket stadium aur yaha ka Kangra Art Museum hai. Dharmshala me Dalai Lama ka bhi temple hai and agar aap bhi Dalai Lama ke inspiring speeches ke fan hai toh aap yaha unse milne ka bhi chance paa sakte hai. Aap yaha par Kangra Fort bhi jaa kar ghum sakte hai aur yaha ke local sports ko bhi enjoy kar sakte hai.
Dehradun:
Dehradun India ke kuch sabse zada visited tourist destination main se ek hai. Dehradun ek living proof hai ki Dunia me paradise exist karta hai. Dehradun me kuch sabse zada beautiful mountain views aapko dekhne milenge. Yaha aapko Himalaya aur Ganga ke saath chalne ka beautiful experience bhi mil sakta hai. Agar aap bike riding kae saukheen hai toh aapko Dehradun jarur jaana chahia, yaha ke kuch mountain side valleys ke roads par bike riding and tracking karne dunia bhar se log yaha aata hai. Darjelling me kuch bahut hi sundar lakes and mountains hai jaha aap day off aur vacations par jaa sakte hai. Dehradun ka Forest Research Institute bhi ek bahut famous tourist destination hai jisse aapko zarur jaa kar dekhna chahia. Dehradun summers vacation ke liye ek perfect destination hai and agar aap city ke disturbance se dur jaana chahte hai toh yeh place aap ke liye best hai.
Nainital:
Nainital, Uttrakhand ki sabse zada famous valley hai. Nainital chaaro taraf se mountains se surrounded hai and yeh ise jagah ki ek bahut special feature hai. Yeh ek bahut hi beautiful tourist destination hai and yaha ki beauty saare hi seasons me bahut visible rahti hai. Nainital hamesha se hi ek bahut famous tourist destination raha hai and yaha saare hi seasons me tourist aata hai. Agar aap summers me yaha jaate hai toh yaha ek bahut hi pleasant weather rahta hai and aap iske valleys me walks aur trekking ke liye jaa sakte hai. India ki ek sabse famous wildlife sanctuary bhi yaha hai , Nainital Zoo . Nainital zoo me aap bahut saare naye animals ko dekh sakte hai and nature ko aur paas se observe kar sakte hai. Aap yaha apne friends ya partners ke saath jaa sakte hai and yae beautiful tourist destination aapko bilkul bhi disappoint nahi karega. Aap yaha ke Naini Lake bhi jaa sakte hai.
Rishikesh:
Rishikesh, Uttarakhand ki ek sabse zada famous city hai and ek bahut famous tourist destination. Rishikesh ko kai log India ka adventure capital ke naam se bhi jaante hai. Rishikesh dunia bhar me apne adventurous sports ke liye famous hai and bahut saare country se log yaha ke sports me part lene aate hai. Yaha ke kuch sabse famous sports me se ek River Rafting hai jisme part lene ke liye log yaha aate hai. Rishikesh me bahut saare adventurous sports ko organize kia jaata hai jaise trekking, Rock Climbing, River Rafting, Mountain Biking, and hot air ballon rides. Rishikesh India ka Yoga Capital bhi hai aur yaha par aap apne body ko yoga se detox bhi kar sakte hai and yae ek perfect tourist destination.
Tourist Destination | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin