in

WTFWTF

Uttar Pradesh: Fir Filed For Asking Help Of Oxygen On Twitter!

Uttar Pradesh

Uttar Pradesh mein hui aek anokhi ghatna! Amethi, UP mein police ne aek aadmi par FIR file kiya kyunnki who Twitter par oxygen cylinder ki help maang raha tha.

Uttar Pradesh

Choti Si Galat Femi Ke Wajah se!

Shahshank Yadav jiss par FIR file hua gaya hai usne tweet mein unke grandfather ki health kharab hai aur unhe oxygen ki zaroorat hai aisa mention kiya tha. But unhone yeh specify nahi kiya tha ki Unke grandfather ko Covid nahi tha.

So Uttar Pradesh ki police ka yeh daawa hai ki unhone galat tweet karke rumor aur fear paida ki hai logo mein. Shashank ke grandfather ko oxygen ki koi zarurat nahi thi aur unhe oxygen dene ke liye doctors ne bhi advise nahi kiya tha.  Aur iss false tweet ke zariye state government ko target karke nicha dikhane ki yeh unki saazish thi.

Uttar Pradesh

Uttar Pradesh Police On FIR.

Police ke according Shashank ne twitter par pehle aek SOS bheja aur uss par Sonu Sood ko tag kar diya. Unki friend ne ye message ko forwad karte hue Uttar Pradesh ke Union Minister and MP Smriti Irani ko help ke liye tag kiya. Thode hi der mein Smriti Irani ne twitter par respond kiya ki unhone Shashank ko kai baar phone kiya but unhone phone uthaya nahi. Aur police ko kaha ki follow up kare aur shashank ki help kare.

Uttar Pradesh

But dukh ki khabar yeh thi ki tab tak Shashank ke grandfather ki death ho chuki thi. But unki death Covid se nahi but heart attack se hui thi, aur unhe covid tha hi nahi. Uttar Pradesh Police ne tweet ke through bataya ki aise crisis ke time par aise false tweet karke fear create karna aek punishable offence mana jata hai.

Bhale hi Covid patients ko oxygen ki need hoti hai but police ne ye fact ko ignore kiya ki people with other diseases ko bhi oxygen ki need ho sakti hai. Police ne Shashank ko strict warning dekar chod diya hai.

Uttar Pradesh

PM Narendra Modi ke request par twitter ne kai saare tweets ko remove kar diya hai. Yeh sab isiliye kiya ja raha hai thaaki koi wrong information na spread ho.

Uttar Pradesh ke CM Yogi Adityanath ka kehna hai ki state mein oxygen ki koi shortage nahi hai. Oxygen ki shortage hoarding aur black marketing ki wajah se ho rahi thi aisa CM ka kehna tha.


Uttar Pradesh | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by AM

kumbh mela

Kumbh Mela 2021 Horela Hai !! Kon Kon Jaa Raha Hai ???

swine fever

One More Virus African Swine Fever !!! Ab Isi Ki Kami Thi Bas