in

LoveLove

Brother’s Day: Aaj Ka Din Bhaiyo Ke Naam!

Brother's Day

Brother’s Day: Aap soch rahe honge bhai Mother’s day suna hai Father’s day suna hai Brother’s Day bhi hota hai? But May 24th officially Brother’s Day ke tarah celebrate kiya jaata hai. So aaj aapke bhai ko call karke batana na bhule ki aap unse kitna pyaar karte hai. Of course uske baaad who aapko pagal zarur kahega!

Brother's Day

Brother’s Day Nostalgia!

Bachpan mein front seat ya fir window ke pass kon baithega se lekar bade hokar, chota bhai bade bhai ki t-shirt and favorite shoes pehne tak ka jhagde hum sabko pata hai! Gharpe agar dono bhai akele ho toh, dono ke beech mein WWE wrestling kab shuru ho jaati hai kisiko pata nahi chalta hai! Aur yeh fighting tab khatam hoti hai jab gharpe mummy aati hai! Aur uske baad mummy ke haatho se pitai dono bhaiyo ki lagti hai.

But Brother’s Day sirf humare sagge bhaiyo ke liye nahi maana jata hai. Hum sabhi ke life mein aisa aek dost zarur hota hai jinhe hum ‘Brother from another mother’ maante hai! Toh aaj apne unn dosto ko bhi call karke wish karna na bhule jinhe hum apni bhai jaisa maante ho.

Brother's Day

Bhai Bhai!

Jaisa Marc Brown kehte hai “Sometimes being a brother is even better than being a superhero.”  Aek bhai hi toh hota hai jinse aap apni saari baatein share kar sako jo aap apne mummy papa se bhi batane mein sharmate ho. Fir chahe who apna sagga bhai ho ya fir aapka brother from another mother ho.

Bhale hi sabke life mein aek sagga bhai na bhi ho par aek aisa dost ya cousin hota hai jo hume apni har burai par daat ta bhi hai aur humari har khushiyo par humse bhi zyada khush hota hai! Brotherhood men ke life mein bohot importance rakhta hai! Fir chahe who blood relation ho ya nahi men take their bro code very seriously.

Brother’s Day, United States Of America mein observe kiya jaata hai. But kai saari countries like Australia, Russia, India, France and Germany mein bhi May 24th ko celebrate kiya jaata hai. Bhale hi aapka bhai aapse kabhi kahe nahi ki who aapse kitna pyaar karta hai but deep down who aapse kabhi alag nahi ho sakta hai!

Toh iss Brother’s Day apne bhai ko zarur bataye ki aap unse kitna pyaar karte hai!


Brother’s Day | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by AM

Beautiful Monuments Of India Make Us Proud To Be Indian

Food: Covid Se Recover Hone Ke Baad Kya Khaye?