in

WowWow

International Dance Day: Significance And History Of Dance.

International Dance Day

International Dance Day: ABCD picture mein Prabhudeva ko quote karein toh ABCD that means ‘Any Body Can Dance’. India mein logo ko dance karne ke bahane chahiye hote hai. Fir chahe woh kisiki shadi ki baarat ho ya fir Ganesh Chaturthi ho. Kisika dance aise hi nikal aata hai aur kaiyo ko dance karwane ke liye peene ki jarur padti hai!

International dance day

International Dance Day Advice From Doctors.

International dance day par dancers, doctors aur fitness experts ka yeh kehna hai ki regular any form of dance karne se log healthy aur fit reh sakte hai. Experts ka toh yeh bhi kehna hai ki iss pandemic ke chalte dance aek bohot hi accha form hai apna stress ko release karneka aur apne mental health ko check mein rakhne ka!

It is a known fact ke, din mein thoda dance karne se mind and body dono hi fit rehte hai. Toh iss International dance day par aap agar aek kamre mein akele baithe hai toh darwaza bandh kijiye aur 5-10 minute dill khol kar nachiye. Who kehte hai na Dance like nobody’s watching you! Koi dekh nahi raha aapko fir kaisi sharam?

International dance day

1982 mein Jean-Georges jo ji modern ballet dance ke creator hai unhone International Dance Day ko start kiya tha. Yeh movement dance ke benefits ko celebrate karneko and logo ko saath lane ke liye start kiya gaya tha.

Pappu Can Dance Sala!

India mein dance karne ki parampara toh sadiyo se hai hi. India ke har festival mein kuch ho ya na ho par dance toh jarur hota hi hai. India ke logo toh jaise dance karne ka bahana hi dhundte hai! Aur jab Indians ka dance nikalta hai fir who kisi bhi dance form ko dhyaan nahi rakhta! Kai saare steps toh international dancers ko hum Indians ne hi diya hai. Example ke taur pe batau toh nagin dance us ke dancers ne thodi invent kiya hai? Yeh toh humare apne Indians ne hi invent kiya hai.

International dance day

Gujarat ki navratri festival ko hi le lijiye 9 days of constant dancing and fun. Gujaratiyo ko andaza bhi nahi hota ki iss festival se unke kitne calories burn ho jate hai! Weight loose karne ka zumba bhi bohot hi accha option hai dance karte karte calories kaha burn ho jate hai pata jhi nahi chalta.

International Dance Day ke din par toh hum yehi kehna chahenge ke khud bhi nacho aur apne aaspass walo ko bhi nachao aur apne saare tensions bhul jao!


International Dance Day | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by AM

red fort violence

Red Fort Violence !!! Ya Fir Kahein Chor Police Khela Jaa Raha Hai

Toofan

Toofan: Will Farhan Akhtar’s Sports Drama Be A Toofan On Amazon Prime?