in

Mental Health: 5 Mental Health Apps Jo Covid-19 Stress Se Durr Rakhta Hai.

Mental Health: Covid-19 ne bade se bade desho pe lockdown toh laga hi diya hai but uske saath saath humare mental health and physical health ko bhi tehes nehes karke gaya hai. According to WHO world ki 7.5% population suffers from depression and approximately 38 million log suffer karte hai some kind of anxiety disorders se.

Often hum humare mental health ke topic ko ignore karte hai. Aur humare desh mein psychiatrist ke yaha jana matalab toh bohot hi shameful mana jata hai. But kehte hai na logo ka kaam hai kehna. Yeh saari cheeze abhi bohot hi common ho chuke hai.

Lockdowns aur covid-19 infection ke darr se humara humare dosto se milna and hangout karna kam ho chuka hai. And as a result hum humari feelings logo ko bata nahi paa rahe hai. But aisa ki you’re not alone in this. Bas aapko aapke app store ya play store ke search mein jaake mental health likha hai aur aapko 100’s of sugggestions mill jayenge.

But here are some of the well being apps jisse hum apni everyday life mein use kar sakte hai toh relieve a little load off our minds.

5 Mental Health Well Being Apps:

1) Mind House.

Mental Health

Mind House app ko Zomato ke co-founder Pankaj Chaddha and ex Zomato chief of staff Pooja Khanna ne develop kiya hai. Yeh app meditation, yoga, sleep stories, podcasts and music sab kuch offer karta hai. Aap aek wellness coach se bhi app ke through baat kar sakte hai but uske liye aapko app ka subscription @Rs 399 monthly or Rs699 yearly buy karna padta hai.

2) Wysa.

Mental Health

Wysa aek AI based chat bot hai jo almost aapke koi bhi mental health related query ko answer kar sakta hai. Yeh app apko do options provide karta hai. First is Self care and second is therapist. For talking to a therapist jiska per session price hai @ Rs 749.

3) Sattva.

Mental Health

Naam ke hisaab se hi yeh app aek traditional Vedic approach leta mental health and well being se approach karne mein. Iss app mein aako mantras, chants and Sanskrit scholars mill jayenge which will help you to focus on meditation.

4) Headspace.

Mental Health

Yeh aek bohot amazing app hai for starters. Yeh app aapko cravings, distractions and lack of focus ke problems ko solve karne mein bohot help karega. Yeh app completely free hai but kuch features use karne ke liye aapko subscription lena padta hai.

 5) PinkyMind. (Android)

Mental Health

Yeh app ko aek online listening app bhi maana jata hai. This app offers a special section jaha aap experts se baat kar sakte hai kisi bhi topic par and they will hear you completely. Yeh mental health well being app only for android users hai.


Mental Health | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook InstagramLinkedin

What do you think?

Written by AM

Friends

Friends Reunion: The Wait Is Over! Friends Reunion Trailer Aa Chuka Hai!

Singapore on Arvind Kejriwal tweet