in

WowWow

Covid Heroes: Free Food Se Lekar Oxygen Langar Tak. Aise Hi Thodi Bade Dilwale Kehte Hai Unhe!

Covid Heroes

Covid Heroes: Free food se lekar basic needs tak jab jab desh ko help ki zarurat padi hai tab tab sikh community pehle aake khade rehne walo mein se aek hai. So iss covid pandemic mein who kaise piche reh jate? Aise hi thodi unko bade dillwale kehte hai!

Covid Heroes

Jab India mein Covid-19 ke second wave ke wajah se all over the country cases mein itna surge hai kai logo ko khane ko khaana nahi mill raha  toh kahi logo ki treatment nahi ho rahi hai. Amid this crisis jab common man government ke irresponsible behavior ko criticize sikh community ne isse an oppurtunity to help ki tarah dekha! Aur bann gaye humare covid heroes.

Covid Heroes

Covid Heroes To The Rescue!

The Delhi Sikh Gurudwara Management Committee ne decide kiya hai ki who apne langar services chalu rakhenge and volunteers ke through covid affected patients, jo food ka arrangement nahi kar payenge unhe subha shaam khana pahonchaya jayega.

Covid Heroes

Delhi mein oxygen shortage ke wajah se kai logo ke ghar tak oxygen cylinders nahi pahonch rahe the. Aise moment par bhi sikh community aek baar phir bani Covid Heroes! Khalsa Aid is providing oxygen concentrators to the people in need. Delhi national capital mein home isolation mein logo ko oxygen shortage ke wajah se yeh sewa chalu ki gayi hai.

Dill Jeet Liya Tussi!

Delhi Sikh Gurudwara firse aek baar covid heroes bane! Unhone Gurudwara’s khol diye for the covid affected patients aur unke liye beds aur rooms ki bhi facilities arrange kar di.

Covid Heroes

Indirapuram, UP ke Gurudwara ne in association with Khalsa Help International ‘Oxygen Langar’ start kar diya hai. Iss program mein covid patients jinko bed aur oxygen ki facilities nahi mili hai unhe free of cost beds and oxygen diya ja raha hai! Fir aek baar covid heroes bante hue UP ki Sikh community!

Sikh community have always stood up when in need and iss case mein who ideal Covid heroes bane aur logo ki sewa mein lage hue hai. We should also take inspiration from the community rather than just complaining and cursing the government. We should help in whatever small or big  ways that we can.


Covid Heroes | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook InstagramLinkedin

What do you think?

Written by AM

Snacks

Snacks: Kya Aap 90’s Ke Kid Ho? Favorite Snack Items That We All Miss!

Sleep

Sleep: Scrolling Memes Till 2 In The Night? Here’s How To Get Some ‘Neend!’