in

WowWow

India Me 2020 Ke Most Selling SmartPhone Brands

Most Selling Smartphone Brand:Samsung

Samsung India me market ke top par wapas pahuch gaya 2020 me . 2020 me Covid accident ke baad bhi Samsung ke smartphone ke sell me 32 percent ka overall growth hua . Samsung last 2 years sae India me acha perform nahi kar paya par 2020 me ache marketing strategies ki wagah sae Samsung nae ek acha comeback kia. Samsung ka 2020 me market share 24 percent ka raha .Samsung ka sabse strong hold uska online portfolios me tha aur yahi reason raha ki Samsung ne lockdown ke condition ke baad bhi ek bahut acha amount me smartphones ki sell ki. Samsung apne hardware and apne tough built ke liye India me sabse zada famous hai. Samsung apne higher price range me World ke kuch sabse best Premium models banata hai. Samsung ne sabse acha sell apne mid range values ke phone sae kai . Samsung ke kuch mid range ke sabse popular smartphone M11,M21,M31,M41 and A series kae A31, A21 and A51 rahe .

2020 most selling smartphone brands.
source : TechRadar

Xiaomi:

Xiaomi last bahut saare year me India ki most selling brand rahi. 2020 me Xiomi ke sell me kaafi kami aayi but still Xiaomi 2nd best Smartphone brand rahi. Xiaomi ka total market share 23.2 percent ka raha . Xiaomi India ki kuch most selling phones bana chuki hai. 2020 mae Xiaomi ki sabse zada selling series Redmi 8 and Redmi 9 rahi. Xiaomi ki mid range ki sabse zada selling smartphones Redmi 9 , Redmi  9 Prime, Redmi 9A , Redmi 8 and Redmi 8A rahi. Redmi apne cheap price range me sabse zada software based features ke liye and low price me ek decent hardware ke liye famous hai. Redmi series ke saath saath Xiaomi ke Poco Series nahi bhi acha sell kia . Poco ki sabse zada seeling models Poco M2 Pro, Poco X2 and Poco X3 rahi.

2020 most selling smartphone brands.
source: The Verge

Vivo:

Vivo 2020 me India ki 3rd Sabse zada selling brand rahi. Vivo ka total market share 16 percent ka raha. Vivo Mid range selling smartphones ma ek bahut bada naam hai Market me. Vivo mostly apne Camera and apne phones ke premium design and looks  ke liye popular rahta hai .Vivo upper range me kuch ache gaming Models bhi banata hai. Vivo ki mid range me sabse zada selling models V15, V15 Pro, Vivo 17 and Vivo 19 rahi.

2020 most selling smartphone brands.
source : Vivo.com

Realme:

Realme 2020 me India ki 4th most selling brand ban gayi hai . Realme ka total market share 15 percent ka raha .Realme , oppo ka hi ek sub-brand hai but Realme nae Oppo sae bhi zada Indian market me sell kia. Realme apne mid range sae lekar apne Premium phones tak ke liye popular hai. Realme ka price range baaki smartphones sae thora kam raha hai aur ache built and design ki wagah sae Realme bahut hi jaldi ek bahut bada brand ban gayi. Realme ki Sabse zada selling models Realme 6 Pro , Realme C3 , Realme Nazro 20, Realme C15 and Realme C11 rahi.

2020 most selling smartphone brands.
source : The Indian Express

Oppo :

Oppo India me 5th most selling ke position par rahi. Oppo ka total market share 10 percent ka raha. Oppo India me 5th position par hai but agar Realme ke share ko add kar diya jaye toh oppo ka total market share Vivo sae zada hai. Oppo ki top selling smartphones OppoF17, Oppo F17 Pro , Oppo Reno 3and Oppo Reno 4 rahi . Oppo apne camera build aur picture ke liye famous hai India me aur Oppo ke recent Multi Cameras wale phones nae bahut hi acha sell kia hai.

2020 most selling smartphone brands.
source : gadgets 360

Smartphone | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

Abhishek Bachchan Ne Finally Revel Kiya Apne Aur Aishwarya Rai Ke Love Relationship Ke Starting Ke Baare Me .

Kumbh Mela Me Corona Virus Ke Outbreak Ke Baad Bhi Aayi Hazaro Logo Ki Bheedh.