in

WowWow

Kumbh Mela Me Corona Virus Ke Outbreak Ke Baad Bhi Aayi Hazaro Logo Ki Bheedh.

Ise saal dunia shocked hogayi Kumbh Mela ke bheed ko bheed ko dekh kar.  Sabne Corona ke outbreak ki wagah se expect kia tha ki ise saal Kumbh Mele me kam bheed hogi. Ise saal bhi Kumbh ke Mele me laako logo ki bheed dekhne ko mili. Kumbh Mela hamare desh ka ek sabse bada festival hai par ise saal corona ke outbreak ki wagah se strict rules tha Kumbh ke Asnan ko lekar. Kumbh Mela ke 3 main events hote hai Shahi Asnan ke, isse saal woh dates 12,14 and 27 April ko pade hai.

Maha Kumbh 2021: Uttarakhand govt announces dates, shortens Mela to 30 days  amid Covid-19 - The Financial Express
source: The Financial Express

Government Ka Kya Kahna Raha Bheed Ko Lekar:

Abhi hamare desh me corona ka second wave chal raha hai and bahut saari state governments nae apne states me lockdown aur cerwfew bhi lagana start kar diye hai. Recently hi NDTV ka ek report me kaha gaya ki Haridwar me abhi 2056 active cases hai and 386 people covid positive tested paaye gaye hai 11th April ko. Government ke law ke according jin logo ko kumbh Mela attend karne ka hai unhe apne corona test ka ek negative report apne saath lekar jaana hoga. Par waha Kumbh Mele me koi bhi authority aise checkups nahi kar rahi thi. Indian Express ke report ke according, Uttarakhand Police, artificial intelligence (AI) ka use karne wali hai Covid-19 ke rules ke violations ko pinpoint karne ke liye.Officials ka kahna tha ki 350 CCTV Cameras install kia gaye hai monitoring ke liye. Authorites koi bhi strict action nahi lete hue dikhe rules ke violation ke against and na hi masks lagane ka aur na hi social distancing ke rules ko follow kia gaya. PTI reported, Government nae 25 special trains bhi start kia hai unn logo ke liye joh Haridwar jaana chahte hai. Uttrakhand ke Chief Minister Tirath Singh Rajwat ka kahna hai ki koi “rok-tok” nahi hogi and Kumbh Mela “open for all” rahega.

Kumbh Mela 2021: Shahi Snan today with Covid-19 norms in place | Hindustan  Times
source : Hindustan Times

About Kumbh Mela:

Kumbh Mela India ke kuch sabse bade festivals me se ek hai. Kumbh Mela har 12 saal ke cycle me manaya jaata 4 major places par, Allahabad, Haridwar, Nashik, and Ujjain. Isse festival me saare ek ritual bath lete hai rivers me. Bahut saari jagaho par bade markets, educational fairs, religious gathering bhi hoti hai Kumbh Mela ke samay. 2013 ke Maha Kumbh Mela me aayi bheed nae use saal ke Kumbh Mela ko dunia ka sabse bada peaceful gathering bana diya. India me 4 places par Kumbh Mela lagta hai and sabse zada bheed Prayag Kumbh Mele me aati hai uske baad Haridwar Kumbh Mele me. Encyclopaedia Britannica ke according ,2001 ke Kumbh Mela me 60 Million log ek saath aaye thi, joh ek world record hai .

Kumbh Mela 2021 begins in Haridwar with Covid guidelines- The New Indian  Express
source : New Indian Express

Kumbh Mela | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

India Me 2020 Ke Most Selling SmartPhone Brands

Tourist Destination To Visit During This Summer